Day 12 of converting my bike into bobber. And itni garmi mein tum log ke liye videos bana rahi hoon aur tum log achhe comments bhi nahi kar sakte. Khair, aaj main denter ke paas khud late aayi thi kyunki unhone kaha tha ki aapka sara kaam main kar dunga aap jab marzi aa ke cheezein le jaana. Aur waisa hi hua jaisa unhone kaha tha. Khair, main phir cheezein dekhne lag gayi ki agar mujhe kahin pe koi changing karwani hai toh main saath saath bata doon. Pichla mudguard hamara adjustable tha ki isko jaise marzi set kar lo. Phir baari aa gayi da main cheez ki jo hai seat. Ye seat humne Instagram pe bahut zyada dekhi thi jo ke bahir ke log bana rahe the. Ye foldable seat aur ye zyada tar bobbers pe banti hai. Aur jab maine ye seat dekhi toh maine kaha ki maine bhi same is tarah ki hi banwani hai. Kyunki hum kaunsa kisi se kam hain aur waisi bhi meri bike best banni chahiye. Khair, seat toh ban gayi bas ek masla aa raha tha jo ke tha seat add rahi thi. But ye bhi solve ho jayega kyunki koi bhi cheez namumkin nahi hoti. Kyunki agar main bike bana sakti hoon toh ye seat toh kuch bhi nahi hai. Aur mera poora din aise hi meri bike ko dekhte hue guzar jata hai. Khair, hamara ek side cover tha usko humne thoda sa aur chhota karwayenge kyunki usne kaafi zyada jagah gher li thi. Aur ab difference tum log khud dekh sakte ho. Khair, hamara jo saman final ho gaya tha humne wo uthaya aur hum log le gaye paint karwane ke liye. Aur yahan pe mujhe bilkul nahi pata tha ki main is paint ko regret karungi aur iski video main alag se banaungi kyunki iski bisti alag se hi banti hai. Khair, humne sara saman rakh liya aur hum log nikal gaye apni manzil ki taraf. Aur bhai, idhar aane ka ye bhi maqsad tha ki mujhe ek PR mein exhaust bhi mil raha hai. Chalo videos banane ka mujhe kuch toh faida hua. Khair, humne phir exhaust ki unboxing ki. Aur ab exhaust ka bata do toh ye Brooks ya Brookes jo bhi isko kehte hain uska hai. Aur mujhe achhi quality ka kahin se nahi mil raha tha toh is ladke ne kaha ki mere paas pada hua hai. Toh bhai agar aapko bhi market se kuch nahi mil raha aur kuch achhi quality mein bike se related chahiye toh aap is bande ko contact kar lo. Main ID tag kar dungi. Khair, phir maine apni bike ka saman chhod diya aur main nikal gayi apne ghar ko exhaust ko uthate hue. Kyunki main bahut zyada khush thi ki mujhe PR mein mila aur agar aapko bhi PR bhejwana hai toh mujhe bhej do. Mujhe koi masla nahi hai. Khair, video achhi lagi toh like kar do. Bye. Aur mujhe follow bhi kar dena next video ke liye.