Hook

Their other posts in the index, biggest breakout first.
tumhare account mein unknowingly paise aa jate hain aur tum khujate ho ki wow aa gaye. Khush mat ho. Aajkal ek ganda scam chal raha hai. Agar tumhare account mein paise aa rahe hain, ab scammers ko tumhare account se paise nikalne ke liye tumhare phone pe OTP ki need nahi hai. Ab unhone naya tareeka nikal diya hai. Jab wo tumhare account mein paise dalte hain, to uss paise ko dalne ke baad tumhe wo dikhta hai ki aa gaye hain aur tum apne uss pe jate ho check karne ke liye ki aaya nahi aaye, hai na? Aur tum apna pin dal dete ho. Wahi tumhari galti hai. Jaise hi aisa message aaya aur tumne check kar liya apna pin daal ke, to wo jo scammer hai, wo tumhare account pe ek auto debit laga ke baitha hota hai aur wait karta hai ki haan koi na koi to aisa hoga, bahut sare logo ko kar dunga, hai na? Aur auto debit ho jata hai tumhare pin daalte hi. So, isse bachne ke liye tumhe basically ya to aadhe ghante tak apna pin nahi dalna, ya pehli baar mein galat pin daalo. Isse tumhare paise bach jayenge. Nahi to bhai, agar tum sahi mein tumhare account mein paise aaye na, tumhare account pe chapat lag jayegi. Isko jitna ho paaye utna share karo. Bhala hoga. Aise nahi to scam ho jayega ganda wala. Scammer se bach ke rehna hoga.