Sixth class tak mera school lunch garam garam ghar se exact lunch time par aata tha. Ghar ke bilkul kareeb tha to ammi khud lunch time tak le deti thi. Phir school door shift ho gaya. Van mein aana jaana start ho gaya aur bas phir ghar ke khane se canteen tak ka safar shuru ho gaya. Roz 10 rupay milte the aur canteen se samosa, achar, chana achar, chips aur pata nahi kya kya khaya karte the. Aur us waqt lagta tha bhai hum to jannat mein jee rahe hain. Roz bahar ka khana mil raha hai aur hamari canteen wali aunty ke hath mein bhi itna zaika tha. Kya chaat banati thi. "Oh ho" test yaad aate hi munh mein selaab bhi aa gaya. Phir 8th class mein school change ho gaya aur private school se government school ka safar shuru hua. Aur phir jo humne duniya dekhi na, woh pehle kabhi nahi dekhi thi. Na aunty na samosa, ande wala burger, chaat, roll aur na jaane kya kya cheezein thi. Upar se thele wale gol gappe, bhuna hua bhutta, barf ka gola. Ammi ne to kabhi tele se kuch khane hi nahi diya tha. Lekin jab zindagi ki dor apne hath mein aayi na, to aisi koi cheez nahi thi jo maine na khai ho. Galazat ki bhi agar koi category hoti na, main uski premium membership le chuki thi. Ek din ammi mujhe school se pick karne aa gayi aur main tele wale ke saath apni barf ke gole ke liye lad rahi thi. Rush mein sab ke upar chadh chadh kar chilla rahi thi. "Uncle pehle mujhe, uncle meri van jaane wali hai." Ammi ne dekha aur kaha, "tum tele se ye gandh khati ho?" Maine kaha, "aapko to pata hi nahi hai hum kya kya khate hain." Aur main 36 saal se jang aur snack kha rahi hoon, main to abhi tak zinda hoon, mari to nahi. Haan, balance zaroor hona chahiye. Lekin main apne bachon ko chui mui bhi nahi banana chahti ki ghar se bahar niklein to har cheez se problem ho. Main chahti hoon mere bachhe har tarah ka khana khayein, har tarah ke environment mein rehna aur situations ko handle karna seekhein. Aur ek interesting baat batati hoon. Meri ammi bahar ka khana bilkul pasand nahi karti. Bahut zabardasti karo to wo aise nakhre sikhati hain. "Gilaas saaf hai, ice bahar ki hai ya apne khud jamai hai?" Fresh wash kar lein aur haal ye hai ki zara sa ketchup ka brand change ho to gala kharab. Aur gala bhi aisa kharab ke banda na so sake. To mera simple sa point hai. Healthy khana zaroor khilayein, lekin bachhon ko itna overprotect mat karein ki unka body aur mind har doosri cheez ko tolerate hi nahi kar sake. Har cheez mein balance rakhein. Bachhon ko healthy bhi rakhein aur duniya ke liye ready bhi rakhein. Meri ammi bahar ka khana bilkul pasand nahi karti. Bahut zabardasti karo to wo aise nakhre sikhati hain. "Gilaas saaf hai, ice bahar ki hai ya apne khud jamai hai?" Fresh wash kar lein aur haal ye hai ki zara sa ketchup ka brand change ho to gala kharab. Aur gala bhi aisa kharab ke banda na so sake. To mera simple sa point hai. Healthy khana zaroor khilayein, lekin bachhon ko itna overprotect mat karein ki unka body aur mind har doosri cheez ko tolerate hi nahi kar sake. Har cheez mein balance rakhein. Bachhon ko healthy bhi rakhein aur duniya ke liye ready bhi rakhein.