National Bank of Pakistan mein agar aap 1 lakh rupay saving account mein rakhte hain to aap ko kitna munafa diya jaye ga, tax kaat ke filer aur non-filer ka kitna munafa banay ga. To dosto main aap logon ke sath qaumi bachat ke sath sath private bankon ke hawalay se bhi information share karta hoon. State Bank of Pakistan ke under jitnay bhi banks hain, aap ke paas information honi chahiye, baqi aap ki marzi jahan pe aap apne paisay rakhna chahein. To yahan pe National Bank of Pakistan ke hawalay se information share karni hai. Agar is mein dekha jaye to jo list hai is waqt Pakistan, sab se pehle UBL Bank hai aur phir HBL hai aur teesre number pe National Bank of Pakistan account holders aur invest jo log karte hain ya paisay trust hota hai kisi bhi bank ke oopar, to yeh bank teesre number pe hai. To is ke hawalay se information share karta hoon, baqi main khud UBL Bank prefer karta hoon, kyun ke us mein ek to har area mein ab un ki branches taqreeban ho gayi hain aur phir staff bhi un ka acha hai aur un ke accounts ke oopar jo facilities hain woh bhi kafi sari baghair paison ke woh dete hain. To baharhal yeh aap logon ki apni marzi aap jahan pe apne paisay rakhna chahein main aap logon ke sath information share kar deta hoon. Sab se pehle agar hum dekhein saving accounts ka profit to 10 feesad ke round about yahan pe profit hai. Agar effective rate ki baat karein to thoda sa .25 yeh saal bhar mein zyada ho jata hai to yeh minor sa is ka itna nahi hai aur effective ka matlab yeh hota hai ke agar aap due date pe profit nahi lete, agli date pe ja ke lete hain to thoda sa us ke oopar aap ko izafa mil jata hai, halankeh yeh bohat kam hai. Acha ab is mein jo 10 feesad ke hisab se aap ka profit banta hai yeh aap logon ke sath main yahan pe share kar deta hoon aur qaumi bachat se bhi hum compare karte hain, qaumi bachat aap ko kitna profit deta hai. Sab se pehle agar hum yahan pe dekhein to yeh 10 hazaar banta hai saal bhar ka lekin monthly agar dekhein to 833 rupay, lekin agli jo story aa jati hai tax katoti ke hawalay se, 20 feesad filer ka tax kat jata hai, is ke baad 666 rupay jo hain woh filer ko bachenge aur non-filer ki agar baat karein to 40 feesad tax katoti ke baad taqreeban 499 yani 500 rupay ke qareeb yeh non-filer ka profit hai. Acha is ke ilawa zakat bhi lagoo hoti hai kuch saving accounts ke oopar, lekin zakat is liye optional hoti hai ke aap zakat se istisna ka certificate jama karwa ke phir khud zakat jo hai pay kar sakte hain aur bank aap se zakat nahi kat-ta. Yeh cheezein aap yaad rakhein ke jo qaumi bachat aur private bankon ke profit rates hain na, in mein sab se jo bada farq hai woh hai tax katoti ke hawalay se. Qaumi bachat aap se 15 feesad tax kat-ta hai filer ka aur 30 feesad kat-ta hai non-filer ka, lekin private bank aap se 20 feesad kat-te hain filer ka aur 40 feesad kat-te hain non-filer ka. To yeh bohat bada farq hai. Phir is ke ilawa profit rates bhi thode bohat farq hota hai, kam hote hain profit in ke aur is ke ilawa jo investment hai woh fixed time period ke liye ho sakti hai ya is tarah deegar is mein aur bhi features aap ko dekhne ko mil sakte hain, woh sab se pehle aap ko pata hona chahiye. Jis bhi bank account mein aap invest karte hain, do teen aap ke basic sawalat hone chahiye ke agar aap ko paison ki zaroorat pad jaye to koi is ke oopar locking period to nahi hai, kuch aise accounts hote hain jaise qaumi bachat mein short term saving certificates ya aap ek mahine tak paisay nahi nikal sakte. To isi tarah private bankon mein bhi yeh rules hote hain ke aap 6 mahine ya saal tak woh paisay nahi nikal sakte. To jis bhi account mein aap invest kar rahe hain us ke rules ke bare mein aap ko pata hona chahiye ke aap invest kar rahe hain to is ke oopar locking period to nahi hai, aap ke paisay kabhi bhi aap ko mil sakte hain ya nahi. Doosra us ke oopar fees hoti hai, fees katoti hoti hai jaise qaumi bachat mein kahin pe 2 feesad hai pehle saal mein, kahin 1 feesad hai, to woh 4 saal tak jo hai woh chalti rehti hai. To yeh cheezein jo hai aap ko pata honi chahiye. Phir is ke ilawa kisi tarah ke koi hidden charges to nahi hain ke aap ki investment jab mature ho 5 saal baad, 10 saal baad, kuch log lambe arse ke liye investment karte hain, to pata chalta hai ke yaar un ke to falaan janab us ke account management ke paisay kat gaye jaise hum mukhtalif jo saving accounts mein invest karte hain to un ke charges hote hain to woh kat gaye. To yeh cheezein aap ne pehle se pata karni hain ke aap ko kitne paisay at the end khalis milenge. To yeh information dosto aap logon ke sath share karni thi NBP ya National Bank of Pakistan ke hawalay se. Baqi qaumi bachat se behtar koi bhi bank munafa nahi de raha. InshaAllah baqi bankon ke hawalay se bhi information aap logon ke sath share karenge. Is video ko yahan pe khatam karte hain, mujhe dijiye ijazat, Allah Hafiz.