Hook
More breakout videos from this creator.
Ye wohi ginger toner hai jisko laga ke maine apne baalon ko yahan se yahan tak transform kiya hai woh bhi kuch hi time mein. Welcome to my series called 30 days of October haircare challenge day 5. Aur aaj main aapko yehi ginger toner banana sikhaungi. Is toner ke mere paas 1000+ reviews hain, jisne bhi isko use kiya uska hairfall khatam hua hai. Isko banane ke liye sabse pehle aapko chota pieces ginger ka chahiye, agar aapka sensitive scalp hai toh aapne ginger ki quantity ko kam kar dena hai. Kuch pieces laung ke chahiye aur kuch pieces daar chini ke chahiye. In teeno cheezon ko aapne ek glass paani mein overnight ke liye bhigo dena hai. Morning mein isko aapne 5 minute tak boil kar lena hai. 5 minute se zyada isko boil nahi karna warna ye strong banta hai jisse aapke scalp pe itching start ho jayegi. Kisi bhi spray bottle mein aapne isko bhar ke 7 din tak fridge mein rakhna hai aur fridge se bahar aap isko 3 din tak use kar sakte hain. Is toner ko aapne din mein do baar use karna hai for better result, ek morning mein aur ek night mein. Is toner ko aapne sirf scalp pe lagana hai, baalon ki length pe nahi lagana warna ye aapke baalon ko dry karega. Toner laga ke aapne lazmi 5 se 10 minute tak scalp ka massage karna hai jab tak toner poora dry na ho jaye, baal baandhne nahi hain. Is toner se related aapko koi bhi question hai aap mujhe comment mein pooch sakte hain. Allah Hafiz.