Jis babu se tum qatl karwate the, aaj usi babu ka qatil kehlata hue, kaisa lag raha hai Shankar? Tu bhi jaanta hai ki babu ko tu ne nahi maara. Lekin ek choti si problem hai. Crime spot par tera revolver mila hai. Apni vardi ko achi tarah se dekh le Shankar, bahut jald utarne waali hai. Tu toh phans gaya Shankar, aur tujhe phasaane waala hi tujhe mukt karega, teri zindagi se. Dard bardasht karne ki aadat daal le, kyunki aaj se encounter Shankar ka, sirf dard se encounter hoga. Shankar, aaj se tu khalaas. Ab ye soch, ki kal apni safaai mein kya bolega? Sir, maaf kijiye lekin ye babu hai kaun? Koi sant hai? Mahatma hai? Koi deshbhakt hai? Nahi sir, woh ek khatarnaak gang ka leader hai, jiske upar murder, extortion aur dakaiti ke kai saare cases hain. Agar aap chahein toh ye file dekh sakte hain sir. Aur nakli revolver, woh toh hamesha main apne paas rakhta hoon kyunki service revolver kabhi bhi kharab ho sakti hai, jam ho sakti hai. Agar aap chahein sir toh sub-inspector Shinde se ye baat confirm kar sakte hain. Aur agar ye baat hai, toh phir tumhara asli revolver wahan se kaise baramad hua? Aur babu ke aadmiyon ke saath uski apni laash kyun nahi mili? Woh isliye sir, kyunki jab mujhe babu aur uske gang ki information mili, tab main apne ghar ja raha tha. Yaani ki main akela tha sir. Aur mere paas sirf 10 goliyan thi. Usme se 6 maine chala di, aur usi mein babu ke do log maare gaye aur babu bhi bahut buri tarah se zakhmi ho gaya. Main apni revolver phir se bhari raha tha sir, tabhi babu ke ek aadmi ne peeche se mujh par hamla kar diya. Usi haatha-paayi mein meri service revolver neeche gir gayi, aur us mauke ka fayda utha kar babu aur uska ek aadmi bhaagne lage. Sir, us waqt meri revolver dhoondne se bhi maine unka peecha karna zyada zaroori samjha. Lekin afsos sir, andhere ka fayda utha kar woh dono bhaag gaye. Agar us waqt mere paas meri nakli revolver na hoti, toh aaj shayad aapko meri laash wahan milti sir. Sir maine ek galti ki, maine turant ye baat apne seniors ko nahi batai. Lekin sir wahi baat kehne mein savere apne ghar se nikla tha ki mujhe CBI waalon ne pakad liya. Mujhe apni baat kehne ka mauka tak nahi diya. Mujhse ye tak nahi poocha ki main apni nakli revolver saath mein kyun rakhta hoon. Sir, agar aap mujhe saza dena chahein toh zaroor dein, lekin mujhe lagta hai ki maine apni jaan par khel kar apna farz nibhaya hai. Lekin sir mujhe lagta hai ki ahem sawaal ye hai, ki woh kaun log hain jo humein gumraah karna chahte hain? Woh kaun hain jo babu ko bachana chahte hain? Halaanki woh naakaamyaab ho gaye hain sir, kyunki babu bahut hi buri tarah se zakhmi ho chuka hai. Aur ab, ab tak toh shayad mar bhi chuka hoga.