Hook
Devil, ye kaisi jail hai? Kal hamare floor ka number 76 tha aur aaj hamare floor ka number 176 ho chuka hai. Iska matlab hai ki aaj hamare paas khane ke naam par sirf khali table aayega. Ye sara khana kharab karta kaun hai? Iska matlab aaj bhi hum bhookhe rahenge. Mujhe lagta hai ki mera kaam yahin par khatam ho jayega. Sirf paanch din reh gaye hain, humein kisi bhi haal mein sabr karna hoga. Mujhe umeed hai ki hamara floor jaldi change ho jayega. Agar hamare paas khana is tarah kharab aa raha hai, toh 300 floors par rehne walon ka kya haal hota hoga? Har saat din baad hamare floors change hote hain aur kisi ko pata nahi chalta ki hamare floors change kaun karta hai. Devil, aaj toh hamari lag gayi. Poore saat din baad humein itna lazeez khana dekhne ko mil raha hai, aaj toh maza aa gaya. Iska matlab hai ki hamara number ab change ho chuka hai. Saat din, saat din mein mujhe kuch karna hoga. Aaj tum utna hi khana khaoge jitna tum aasani se kha sakte ho. Main dekhta hoon aaj khana kharab kaun karta hai, kyunki main khane ke saath niche 300 floors tak jaunga aur sabko ye khana doonga.
More breakout videos from this creator.