Multan mein saans lena mushkil. AQI 902 record, Lahore se dugna alooda. Ye kefiyat meri dekh rahe hain aap. Ye kya hai? Mera gala kharab nahi hai, na koi khansi hai. Ye jo is waqt fiza mein aloodgi hai, ye sabab ban rahi hai aapke gale mein takleef ho rahi hogi, itching hogi, aapko flu jaisi kefiyat hogi, chinke aa rahi hongi. Aur ye to bazahir alamaat hain. Is se bhi zyada iski khofnaak soorat-e-haal hai aur iske asraat hain. Is waqt Multan ka jo AQI index hai, particulate matters 1200 se tajawuz kar chuke hain. Aur ye ab niche aana shuru hue hain, lekin 1200 AQI ka pahunchna intehai khofnaak soorat-e-haal hai. Kisi bhi jagah par agar kisi aur moazzab maashre mein ye hota to emergency ki soorat-e-haal ho jaati. Lekin aap dekhein ke main shehar bhar ka chakkar lagaya hai, is waqt jo hai, koi ek aadmi bhi mask pehne hue nahi phir raha. Wo aap fori tor par mask pehne. Karna kya hai aapne? Main aapko batata hoon ke iske asraat kya honge, lekin aapne fori tor par karna kya hai ke apne ghar ki tamam darwaze khidkiyan band rakhein. Unko na kholein, seal kar dein. Andar beshak pankha chala lein, lekin aap apne darwaze khidkiyan band kar dein kyunke ye jo hawa mein, fiza mein aloodgi majood hai, ye itne bareek zarraat hain ke ye aapke kamron mein, ghar ke andar pahunch rahe hain aur aapko nuqsaan pahuncha rahe hain. Isliye aap khidkiyan darwaze band kar lein, bahar agar aapne nikalna ho, zaroorat ke tehat niklein, mask pehne. Aur mask ke baghair bahar na niklein. Koi exertion wala kaam, aisa kaam jisme aapko thakawat ho, khaas tor pe bahar jaake wo na karein. Jab aap thakenge to phir aap saans zyada lenge, tezi se lenge to ye particulate matter jo hai wo zyada aapke andar jayenge. Particulate matter hain kya? Ye aap aise samajh lein ke pollution ka jo hai wo particles hain. Ye inko bhi main aapko zara samjhata jaaun ke agar ye 10 microns ke hoon, 10 micrometers ke hoon to ye hamara jo nizaam-e-tanaffus hai, naak hai, gala hai, inko rok leta hai, filter kar leta hai. Lekin agar ye 2.5 par pahunch jaayein, 2.5 microns pe pahunch jaayein, micrometers par to ye jo hamara nizaam-e-tanaffus hai inko nahi rok paata aur ye barah-e-raast phephre mein chale jaate hain. Phephre mein jaate hain to hamare andar jo hai nizaam-e-tanaffus ko kharab karte hain aur hum bronchitis ka shikaar ho sakte hain, health ki jo diseases hain, khaas tor pe jo dil ke amraaz hain, wo un mein mubtala ho sakte hain. Hamein aur bohot saari pechidagi ho sakti hai, jild ke amraaz bhi ho sakte hain. To ye jo 2.5 ke microns is waqt Multan aur deegar shehron mein 2.5 jo hai micrometers ke particles hain aur jo bohot khatarnaak hain. Agar ye is se bhi chote ho jaayein, bareek ho jaayein, ye point 1 par, nano meter par chale jaate hain aur ye agar aapke lungs mein jaate hain to ye lungs ke saath saath barah-e-raast khoon mein shaamil ho jaate hain. Itne khatarnaak hain, aap zara andaza karein. Lekin shayad hamein iska ehsaas nahi hai aur hukumat bhi iska ehsaas nahi dilwa rahi ke ye kitni khofnaak soorat-e-haal hai. Ye AQI index ko aap dekhein, aapke paas ye jo mobile hai, is mein jo aap dekhte rehte hain na ye jo mausam ki soorat-e-haal hai, agar aap isi ko click karein to is mein AQI bhi nikal aayega. AQI ko agar aap click karein to us mein aapko batayega ke is waqt jo hai, ye jo particles hain, unki tadaad kitni hai aur unka size kya hai. Agar wo 2.5 hai to is very very poor for the health aur fori tor par aap iqdamaat karein. To is waqt hamare yahan aap Lahore dekhein, musalsal jo hai wo AQI mein duniya bhar ke shehron mein pehle number par aloodgi wala shehar aa raha hai. Lekin kyunke Multan international shehron mein shumaar nahi hota, jo AQI index hai, isliye uska naam niche reh jaata hai, otherwise Multan ki soorat-e-haal bohot kharab hai. Aur Multan aur ird-gird ke ilaaqe jo hai, Bahawalpur bhi ki soorat-e-haal achi nahi thi aur wahan par bhi jo hai wo 800 se oopar AQI tha, to isko address karne ki zaroorat hai. Aapne karna kya hai? Zyada se zyada paani piyein. Adrak wala kehwa jo hai, usko istemaal karein aur koshish karein ke aap bahar agar niklein to mask pehen kar jaayein. Aur iske saath saath jo hai agar aapko koi alamaat hain, kahin khansi, nazla zukam ho raha hai to gurh ka istemaal karein ya koi is tarah ki cheez jo aapke gale ki kharash ko door kare, use istemaal karein. Bohat hi ehtiyaat karein, apne bachon ke liye, khaas tor par bachay bare vulnerable hain, unke liye ehtiyaat karein aur hukumat ke liye ek request hai ke dekhein aakhir hum itne hi jo hai wo pollution ka, fazai aloodgi ka kyun shikaar ho rahe hain? Hum sab kuch Bharat pe daal kar baith jaayein ke udhar se aane wali fiza hamein kharab kar rahi hai, hum khud kya kar rahe hain? Humne darakht lagane ke hawaale se kya kiya hai? Agar humne darakht nahi lagaye to hamari pollution jo hai us mein izafa ho raha hai aur aainda agar yahi haalaat rahe to is pollution mein aur izafa ho jaayega. Pichli ek tihai mein humne fazai aloodgi mein bohot khofnaak soorat-e-haal dekhi aur ye barhti ja rahi hai. Hum iqdamaat to kar rahe hain, kaafi saare iqdamaat kiye hain, hukumat ne bohot achay iqdamaat kiye hain, smoke guns bhi mangwayi hain, sprays bhi kiye hain, koi masnooi baarish ke liye bhi iqdamaat kiye hain, lekin abhi tak jo hai wo wo results jo hamein milne chahiye wo nahi mil rahe aur hamare is khitte mein to abhi baarish ke bhi koi door door tak imkaanaat nazar nahi aa rahe. To apne aap ko mehfooz rakhein, khud ko mehfooz banayein aur bachon ko bhi mehfooz banayein.