Hook

Their other posts in the index, biggest breakout first.
Haath utha ke duain doge aap, WhatsApp ke is feature ke baare mein jaan ne ke baad. Are kehna kya chahte ho? Kehna ye chahta hoon ki WhatsApp mein agar aap audio ya video call karte hain, toh WhatsApp mein ek bahut hi kaam ka new feature add hua hai. Aur yakeen maano, ise aap everyday use karne waale hain. Bas WhatsApp pe kisi ko bhi call karo aur yahan three dot pe click karo. Yahan aapke saamne ek new option show ho jaayega noise cancellation ka. Yahan se aapne ise on kar dena hai. Aur bas, ab chahe tum bazaar mein ho, road par ho, ya tumhaare aas paas jitna bhi shor ho, sab khatam ho jaayega. Tumhaari aawaaz saamne waale ko bilkul clear, clean aur saaf sunaai degi. Aur haan, ye video apne un doston ke saath zaroor share karna jo call karte waqt aapko hawa, traffic aur shor ki aawaazein sunaate rehte hain. Agar ye feature aapko abhi tak nahi mila, toh WhatsApp ko update kar lena, mil jaayega. Changa phir. Kar de like, follow, subscribe, share, milte hain agli baari.