Nursery mein ek fountain dekha tha ki mat suni to maine kaha ye to nahi lena. Phir mere dimag mein khayal aaya agar yahi fountain mein khud bana loon to? Aur bas phir kya tha, ek sasti si thermocol foam sheet lekar maine aisa experiment shuru kar diya jiska mujhe khud nahi pata tha ki aakhir mein kya banne wala hai. Lekin is poore kaam mein ek aisi galti hui ki meri apni banayi hui sheet hi jalne lagi aur phir mujhe woh dobara poora tarika badalna pada. Toh aaj dekhte hain kya ye waqai ek khoobsurat fountain ban payega ya mera poora thermocol ka tajurba nakam ho jayega. Assalam-o-Alaikum, welcome back to DIY Ora. Aap log meri lawn makeover series to dekh hi rahe hain aur isi silsile mein ab mere zehen mein ek aur idea aaya hai. Main nursery gayi to wahan bahut khoobsurat fountain dekhe. Mujhe fountain hamesha se pasand the kyunki garden mein pani ki awaz aur greenery ke sath fountain ka look hi bilkul alag aata hai. Lekin jab maine inki qeemat dekhi to maine socha itne paise ek fountain par? Nahi bhai, DIY karne wale log kis din kaam aayenge? Aur wahin se mere dimag mein ek challenge aaya ki kyun na khud fountain banane ki koshish ki jaye. Sabse pehle maine thermocol foam sheet li. Mera maqsad sirf ek khoobsurat fountain banana hi nahi tha balki ek aur cheez bhi thi. Main ise concrete look to dena chah rahi thi lekin main ye bhi chah rahi thi ki ye zyada heavy na ho kyunki main chahti thi ki agar kal ko mujhe lawn mein setting change karni pade ya is fountain ki jagah change karni pade to main ise uthakar dusri jagah aram se rakh sakoon. Look bhi concrete wala ho aur weight bhi kam ho aur iske liye thermocol mujhe ek best option laga base ke liye. Maine in sheets ko teen mukhtalif sizes mein cut kar liya, ek bada piece, ek darmiyana size ka aur phir ek chota sa hissa. Main chahti thi ki fountain level mein ho taake jab pani chale to wo ek level se dusre level ki taraf aaye. Ab yahan se asal kaam shuru hua. Sabse pehle maine socha ki in pieces ko smooth bond se join kar deti hoon lekin masla ye tha ki main pehli baar ye bond use kar rahi thi aur thermocol sheet par istemal kar rahi thi aur mujhe bilkul andaza nahi tha ki iska reaction kya hoga. Jaise hi maine ise sheet par apply kiya aur kya hua ki thermocol react karne lagi aur pighalne lagi jaise. Maine foran kaha bas ye to galat ho gaya. Yani fountain banne se pehle hi mera thermocol fountain khatam hone wala tha. Phir maine socha ki ab koi aisa tarika kiya jaye ki thermocol ko damage bhi na kare aur pieces ko mazbooti se jod bhi de. Toh phir maine silicone gun istemal karne ka faisla kiya aur honestly ye wala tarika kaam kar gaya. Maine ek ek piece ko silicone se join kiya aur jab saare pieces apni jagah aa gaye to structure kafi mazboot lagne laga. Ab mujhe pehli dafa ehsas hua ki ye to ban jayega. Fountain to ye waqai ban jayega. Ab thermocol ka structure to ban gaya tha lekin zahir hai mujhe ise thermocol hi to nahi chhodna tha. Ab asal transformation yahan se shuru honi thi. Main ise bahar le gayi aur maine plaster taiyar kiya, ret aur cement ko mix karke aur phir shuru kiya is poore structure ko cover karna. Mera maqsad ye tha ki aakhir mein thermocol bilkul nazar na aaye aur poora fountain ek concrete look jaise stone jaisa mehsoos ho. Lekin yahan mujhe ek aur masla aaya. Thermocol ki surface bahut smooth thi isliye mixture ko ispe hold karwana itna asan nahi tha. Kabhi mixture niche aa raha tha, kabhi kahin se thickness zyada ho rahi thi aur kabhi mujhe dobara isi jagah kaam karna pad raha tha. Toh phir maine hathon ki madad se bhi ise spread karna shuru kar diya. Maine kaha ki khatam to karke hi chhodna hai aur yahan ek baat aapko zaroor bataoon, ye galti aap logon ne nahi karni. Maine gloves ke bagair kafi kaam kiya jiski wajah se hathon mein irritation aur chote cuts wagera ho gaye to aap bhi aisa koi project agar kar rahe hain to please gloves zaroor istemal karein. Kyunki DIY project ko khoobsurat banana hi zaroori nahi hota, apne hathon ka khayal rakhna usse bhi zyada zaroori hota hai. Aur is poore project mein main akeli nahi thi, mere bete ne bhi meri kafi help ki aur bacchon ne bhi mere sath kaam karwaya aur yaqeen karein jitna fountain ban raha tha na, itna hi hamara floor bhi fountain banne ki saza bhugat raha tha. Poora floor mixture se ganda ho gaya lekin jab koi project dil se kiya jaye na to ye choti choti mess bhi achi lagti hai. Kyunki ek umeed hoti hai ki nahi yaar ye acha ban jaye, safai ho jayegi. Aakhir mein humne poora floor bhi wash kiya aur fountain ko ek jagah rakhkar dry hone ke liye chhod diya. Raat bhi bahut ho chuki thi aur hum thak bhi bahut chuke the, isliye maine socha ki isko poori raat dry hone ke liye chhod dete hain aur subah uthke dekha jayega. Aur agli subah jab main uthkar ise dekhne gayi to literally main kuch second ise dekhti reh gayi kyunki raat ko jo mujhe sirf thermocol ka ek rough sa structure lag raha tha, ab wo kafi had tak ek proper solid structure ban chuka tha. Maine socha okay, ab yahan se waqai fountain banne wala hai. Lekin abhi hamara kaam khatam nahi hua tha. Ab isme sabse important cheez lagni thi water pump. Kyunki fountain sirf structure ka naam to hai nahi, asal maza to tab aayega jab isme pani chalega aur pani upar jayega phir niche aayega aur poore fountain mein water flow create hoga. Iske liye mujhe kuch water pots lene the, water pump lena tha aur baki accessories bhi chahiye thi aur isliye ab humein dobara nursery jana padega. Toh aaj ke liye hamara fountain yahan tak pahuncha hai. Thermocol se shuru hua, phir ise cut kiya, phir galat glue ki wajah se masla hua, phir structure silicone se banaya, phir plaster kiya isko aur phir usse ek complete different shape de di. Lekin abhi aapne iska asal look to dekha hi nahi kyunki agle episode mein hum karenge iska complete water system, pump fit karenge, water flow set karenge aur phir sabse exciting kaam isko denge wo final look jiske liye humne ye poora project shuru kiya tha. Aur ek bhi itna kaam kar hi liya hai to part 2 ke bagair ye kahani khatam to hogi nahi. Agli isme milte hain is thermocol ke dhanche ko ek asal fountain bante hue dekhne ke liye. Milte hain next episode mein tab tak ke liye Allah Hafiz.