Hook
More breakout videos from this creator.
Oye, pichle 24 ghante mein char aisi cheezein hui hain jisko dekh ke aisa lag raha hai bahut tagdi war hone wali hai. So sabse pehle Yemen country ke Houthis ne missile fire kar di Riyadh ke upar, jo ki Saudi Arabia ki capital hai. Aur is missile ne world ki largest oil facility ko hit kara hai. Next, America ne nine Middle Eastern countries mein emergency alerts bheje hain apne citizens ko, jiske andar unhone ye bola hai ki agar koi bhi American citizen Middle East mein ja raha hai, toh please mat jao, kyunki yahan pe situation bahut kharab hone wali hai. Next, Donald Trump apni ek meeting chhod ke wapas White House chale gaye and iska koi reason nahi bataya gaya hai. And America ka ek B1 bomber America se takeoff kara hai and aisa bola ja raha hai ki bhai ye shayad kahin pe attack karne wala hai. Next, Netanyahu ne apni America ki trip cancel kar di aur Elon Musk ke saath bhi apni meeting cancel kar di. Ab wo jaldi se wapas Israel ja rahe hain. Aur sirf itna hi nahi, kal raat Ukraine ne Russia ke upar apna biggest attack kara hai drone se, jiske andar Russia ki major oil refinery mein aag lag gayi. So bhai situation bahut serious hoti ja rahi hai, let's see aage kya hota hai. Jo bhi update aayega main aapko bata dunga.