Hook
More breakout videos from this creator.
Sab se pehle ye machine liye na, aadhi zindagi to meri waise hi asaan ho gayi hai. Ye apne dresses jo maine geele karke latkaye the, isme dekhe garam garam dresses hue hain jaise abhi abhi istri ho ke aaye hain. Wow! Sahi garam hue hain, hanger bhi garam hua hua hai yaar. Ye hamara dusra dress. Ye jo gadget hai ye Waqas ne mere liye order kiya hai kyunki mujhe bahut pareshani hoti thi bachon ke kapde dhoye aur barish ho gayi. Pata nahi yaar jis din main machine lagati hoon usi din barish ho jati hai aur mere kapde nahi sookhte aur mostly jo cheez important hoti hai wo hota hai bachon ka uniform. To ab maine isme latkana hai wo dress aur dress mera yun sookh jayega. Okay to ab ye shirt main geele karke le aayi hoon, isko hum taangte hain iske andar jahan pe unhone taangne ki jagah banayi hui hai. Ye zip band, unhone zip di hui hai saare iske aur itne maze ki device hai ke aap isko kahin bhi le ke bhi ja sakte ho. Okay, start ho gaya hai. Shirt ko isme se nikalne ka time ho gaya hai, ab main aapko dikhati hoon ye ke kitni sookhi aur kya system hai iska. Sahi garam garam na isme se hawa aa rahi hai aur sardiyon mein mujhe lagta hai bahut zyada kaam aayega aap logon ke. Itna zabardast jo hai wo hamara suit sookh gaya hai iske andar aur aisa lag raha hai jaise maine iron kiya hua hai. Ye cloth dryer heater maine Daraz ki nono sales order kiya tha with free delivery aur ye itna convenient hai ke jab aapne isko use kar liya isko wapas pack karke iske dabbe mein daal do.