aap ka pet mota nahi hai, aap ka pet sirf phoola hua hai. aur ye dono baatein bilkul alag hain. lekin hamesha inhe ek hi samajh liya jata hai. zara abhi apna haath pet par rakh kar halka sa daba kar dekhiye. agar wo naram hai, andar se bhara bhara lagta hai, aur khana khane ke baad wo aur bhara hua lagta hai, to yaqeen kijiye ye charbi nahi hai. ye wo gas hai, wo khana hai, jo aap ne khaya to sahi, lekin wo theek se aap ke jism ke andar hazam hi nahi ho paya. aur sab se badi zyadti aap apne saath ye karte hain ke aap khana chhodna shuru kar dete hain. roti kam kar dete hain, chawal band kar dete hain, raat ka khana chhod dete hain, aur phir bhi subah uth kar jab aaine ke samne khade hote hain, to wahi latka hua pet wapas apni jagah par waise hi maujood hota hai. purane kapde almari mein pade rehte hain, kyunke ab wo aap ko poore hi nahi aa rahe hain. kahin jana ho to pehla khayal yahi aata hai ke pet chupaane ke liye kya pehna jaye. aur log haste hue keh dete hain ke bas ab umar ho gayi hai. nahin, ye umar ka masla nahin hai. aaj main aap ko wo cheez batane wali hoon jo aap ke apne kitchen mein pehle se hi padi hui hai. khane ke baad sirf chane ke daane jitna ek chota sa tukda aap ko chahiye, jisse bas dheere dheere aap ne chabana hai. pet ka phoolna, gas, tezabiyat aur subah pet ka saaf na hona, sab ek taraf hatna shuru ho jayega. lekin is se pehle ke main wo tukda bataoon aap ko ke aap ne wo kaise istemaal karna hai, abhi teen usool aise hain jo agar aap ne nahin samjhe, to ye tukda bhi apna poora asar aap ko nahin dikha payega. agar aap chahte hain ke aisi baatein aap tak roz pahunchti rahein to hamare channel ko abhi subscribe kar lijiye. comments mein mujhe sirf do cheezein bataiye ke aap ki umar kitni hai aur aap hamari video kahan se dekh rahe hain. ab pehle ye samajh lijiye ke pet phoolta aakhir kyun hai. jab khana pet mein ja kar theek se toot nahin pata, to wo wahin pada rehta hai aur sadne aur galne lag jata hai. us se phir aage ja kar gas banti hai. wo gas aanton mein bhar jati hai aur pet bahar ki taraf nikalne lagta hai. is liye subah aap ka pet patla hota hai aur raat tak wahi pet do inch bada lagne lagta hai. charbi itni jaldi nahin badhti, gas badhti hai. aur ye gas aati kahan se hai? wahin se, jahan aap ko lagta hai ke aap kuch galat kar hi nahin rahe hain. aap ka baar baar kuch na kuch khate rehna, thodi si chai, biscuit, khajoorein aur phir aadhe ghante baad ek pyali chai. aap ko lagta hai ke main to kuch kha hi nahin raha, lekin aap ka pet poora din hi chalta rehta hai. us se ek minute bhi aaram nahin milta hai. ab is ko aise samajh lijiye, pet ki taqat ek choolhe jaisi hai. jab bhi kuch mooh mein jata hai, choolha jal uthta hai aur kaam shuru kar deta hai. lekin agar aap thode thode waqfe se us mein kuch daalte rahein, to wo aag na theek se jalti hai, na hi wo theek se bujh pati hai. bas dhuaan deti rehti hai. aur phir jab asli khane ka waqt aata hai, jab poori raat saalan, chawal pet mein jate hain, us waqt wo aag bilkul mand pad jati hai. khana pet mein utar jata hai, lekin wo ache se digest hi nahin ho pata hai. yahi wo lamha hai jahan se aap ka phoola hua pet jo hai, us ka nizam shuru ho jata hai. aur ab sab se bada dhoka suniye. sehat ke naam par kiya jaane wala dhoka. subah uth kar teen char badam, phir thodi der baad ek kela, phir ek seb, phir kuch log kehte hain hum to green tea peete hain, us ke saath biscuits khate hain, phir 11 baje bhook lag gayi dobara se to dahi, phir ek khajoor, phir dopehar ka khana. aap kehte hain ke ye sab to sehat wali cheezein hain, in se aakhir kya hi nuqsaan hoga? nuqsaan cheezon se nahin ho raha, nuqsaan is baat se ho raha hai ke aap ne apne pet ko poore din mein ek baar bhi khaali nahin choda hai. badam bhi utni hi mehnat mangta hai jitni ke biryani mangti hai. us se bhi hazam hone ke liye waqt chahiye, aur aap wo waqt use de hi nahin rahe hain. to pehla usool likh lijiye, baar baar ka khana band kar dein. jo kuch bhi khana hai wo do ya teen waqt mein ikatha kar lijiye. nashte mein hi phal daal lijiye, nashte mein hi badam add kar dein, ande, paneer, dahi, jo kuch bhi shamil karna hai ek waqt mein hi kariye. aur us ke baad teen ghante tak mooh band rakhiye. chai bhi nahin, biscuit bhi nahin, khajoor bhi nahin, kuch bhi nahin. aur in teen ghanton mein karna kya hai? pani peena hai, khana khane ke poore ek ghante baad ek bada glass pani, aaram se baith kar ghoont ghoont bhar ke. us ke dedh ghante baad phir ek glass pani. ye pani aap ke andar jama gandagi ko bahar nikalta hai. aap ke pet ko bhi thanda rakhta hai aur khana hazam hone mein khud madad karta hai. lekin main jaanti hoon ke asal imtehaan yahan se shuru hota hai. aap kisi ke ghar baithe hain, samose pakode aa gaye, chai aa gayi aur phir aap ko lagta hai ke mana karna sahi nahin rahega. yahan ek baat yaad rakhiye, wo log ek dafa bura maan lenge, lekin aap ka pet aap ko roz bura kehta rahega. ek dafa aap ne naram lehje mein mana kar diya to agli dafa wo khud aap ka khayal rakhenge. aap ne apne aap se thodi si sakhti karni hai. ab dusra usool aur ye usool khaas tor par un logon ke liye hai jin ka pet sab se zyada nikla hua hota hai. aap ne khud dekha hoga, dukan par baitha hua maalik, office mein kursi par baitha hua aadmi, ghar mein sara din kaam karne wali aurat, jo khud ek jagah baithi rehti hai. ye log zyada khate hi nahin hain, phir bhi in ka pet sab se aage hota hai, kyunke khana aap ke andar gaya aur us ki taqat kahin par kharch hi nahin hui. jo taqat kharch nahin hoti wo jism charbi bana kar pet ke aas paas jama kar leta hai. to khane ke baad wale teen ghante sirf pani ke nahin hain, harkat ke bhi hain. baithe na rahiye, khade ho jayen, kamre mein chakkar laga lein, lift chhod kar seedhiyan chadh jayen, bartan khud rakh dein, bazaar se kuch ho lana ho to wo paidal chal ke le aayen. aadha ghanta warzish ya phir walk karna wo zyada behtar hai kahin par ek jagah baithe rehne se. poore din halka halka chalte rehna ya warzish se bhi zyada asar dikhta hai. aur ab aata hai teesra usool, jo shayad in teenon mein se sab se aasaan hai aur sab se zyada nazar andaaz kiya jata hai. khana chaba kar khayein, bahut dheere dheere. har luqma itna chabayein ke wo mooh mein hi naram ho jaye, kyunke hazma pet mein shuru nahin hota, mooh se hi shuru ho jata hai. aap ke jo saliva hai, jo thook hai, us mein wo cheezein hoti hain jo khana todna shuru kar deti hain. jab aap jaldi jaldi khana nigal rahe hote hain, phone dekhte hue, tv ke samne baithe hue, to aap ka pet wo poora jo bojh hai wo akela uthata rehta hai aur phir wo aahista aahista phoolta rehta hai. saath mein har khane mein thoda sa salad rakh lijiye aur protein zaroor rakhiye. anda, dahi, daal, gosht, chana, jo aap ko easily available ho jaye. aur jahan tak ho sake khana ghar ka paka hua khayein. bahar wala aap ki sehat nahin dekhta, apne hisaab se dekhta hai. ab main aati hoon us asal cheez par jis ke liye aap ye video dekh rahe hain. wo ek tukda jise khane ke baad chabana hai. aap ko chahiye aadhi choti chammach saunf, chane ke daane jitna adrak ka tukda, ek kali mirch aur do chane ke daane jitna gud. bas ye chaar cheezein aur agar aap ne ye khane ke theek 10 minute baad mooh mein rakh li to jo agla kaam aap ke pet ke andar shuru hoga, wo aap ko teesre din se khud mehsoos hone lagega. ab zara suniye ke ye chaaron cheezein aakhir karti kya hain. saunf se pet ko thandak milti hai, jo mirch masala jo tez ghee wala saalan aap ne khaya, us ki garmi ko wo daba deti hai, khatti dakarein aur seene ki jo na dono par jo hai wo break lag jati hai. aur gud jo hai wo pet ki safai ka kaam karta hai, gas neeche ki taraf nikal jati hai aur jin ko qabz rehti hai, un ke liye ye khaas tor par kaam karti hai. kali mirch sirf ek, lekin ye wahi cheez hai jo bhari se bhari khana bhi tod deti hai. jab lage ke khana pet mein hi upar ka upar pada hua hai to ye wahi kaam karti hai. aur adrak, ye hazme ki taqat ko jaga deti hai aur baar baar lagne wali bhook ko bhi thanda kar deti hai. tareeqa ye hai ke ye chaar cheezein haath par rakh kar mooh mein dalne aur 5 se 10 minute tak in ko aahista aahista chabate rahein. thookna nahin hai, in ko aap ne nigal lena hai. shuru mein zaiqa thoda ajeeb lagega aap ko, teen din baad aadat ban jayegi. us ke baad ek do ghoont neem garam pani pijiye, bas. zyada pani nahin peena. aur agar chabana mushkil lage to aasaan raasta bhi hai. saunf ko halka sa tave par bhoon lijiye, thanda karke pees lein, us mein sonth ka powder, thodi si kali mirch aur gud mila kar choti choti goliyan bana kar rakh lijiye. khane ke baad ek goli mooh mein daal kar chooste rahiye. ye teen waqt nahin lena, dopehar ke khane ke baad aur raat ke khane ke baad lena hai. nashte mein is ki zaroorat nahin hai. aur jin ko pet ka ulcer hai, jin ka koi operation hua hai, wo ek dedh mahina lene ke baad jab lage ke pet khul kar saaf ho raha hai aur khana aasani se hazam ho raha hai, to wo is ko phir chhod dein. ye umar bhar ki dawa nahin hai. ye sirf aap ke pet ko dobara khade karne ka ek zariya hai. ab aakhri baat aur ye zara gaur se suniye. aap ka pet aap se kuch nahin maang raha, na koi mehangi dawa, na koi gym, na hi bhooka rehna. wo sirf itna keh raha hai ke mujhe thoda aaram de do. teen ghante ka aaram, thoda chalna, chaba kar khana khana aur khane ke baad chota sa tukda jo hai wo aap ne adrak, jo kali mirch wagera, gud jo hain un ka lena hai. aaj se hi shuru kar dijiye aur jab ek hafte baad aap ke kapde thode se dheele lagne lagein to comment mein aa kar mujhe zaroor bataiye, kyunke main saare aap ke comments jo hai wo padhti hoon. hamare channel ko bhi abhi lazmi subscribe kar lein aur ye video us aap ke apne ko bhej dein jo roz pet phoolne ki shikayat karta hai. ho sakta hai aap ki ye ek video us ki zindagi badal de. apna khayal rakhein, apne pyaron ka khayal rakhein, milte hain hum aap se next video mein.