So here is that Superman gentleman. You can see this Superman, please. I would request my dear friend Havaldar Asif to tell something about himself that who is he. Assalam-o-Alaikum. Mera naam Muhammad Asif hai, main basically district Attock, tehsil Pindi Gheb ka rehne wala hoon. Kal pichle time kuch doston ne mujhe call ki hai ke social media par chal raha hai ke aap ko Indian army ne Kashmir mein shaheed kar diya hai. Aap kidhar hain? Maine kaha main bol raha hoon, main aapke samne hoon, main zinda hoon, Alhamdulillah. Iske baad mujhe Indian numberon se callen aani shuru hui aur unhone mere se zaati data puchna shuru kiya ke aap kidhar hain, kaun hain, uske kya lagte hain. Main woh number block karta gaya hoon. Aur iske baad social media pe mujhe ISPR se pata chala ke Indian jo media hai, unhone aapka jo data hai, usko istemal karke aapko jhooti karwayi mein Kashmir mein shaheed kar diya hai. Mujhe toh khud bahut hairani hui ke yeh kya ho raha hai. Main abhi ghar mein baitha hoon toh kidhar unhone mujhe shaheed kar diya. Phir maine woh baat apne unit mein sabka batayi hai ke sir yeh yeh baatein chal rahi hain mere khilaf toh iska ek jawaz banta hai ke main kisi ko bataun, kal koi mere upar ilzam lagaye ke waqai aap udhar gaye ho ya nahi ho. Unhone kaha aap number block kar dein, ISPR wale aap se rabta karenge. Phir jo woh kahenge phir aapne phir jana hai udhar. Yeh sachai aapne bayan karni hai udhar. Toh phir ISPR walon ne mujhse rabta kiya hai ke yeh jo kahani chal rahi hai, ismein aapka kya khayal hai, shaheed ho gaya ya nahi ho gaya. Maine kaha main zinda hoon abhi. Toh unhone kaha ke phir aap aa jao. Yeh tafseel jo hai jab hogi toh usmein batani hai aapne ke main zinda hoon. Toh phir main aa gaya hoon. Thodi tafseel main aapko batana chahta hoon apni ke main 2000 mein army mein bharti hua, Artillery mein. 2005 mein maine SSG join kar li aur 18 saal badi bahadri ke sath maine naukri ki aur 2023 mein main retired hua SSG se. Uske baad main teen saal ek private security company mein maine duty ki hai. Uske baad abhi main koi teen char mah ho gaye hain ke main apne ghar mein apni family ke sath apne zaati ghar mein Pindi mein reh raha hoon. Aur yeh jo India ne mujh pe kya mere mulk pe ilzam lagaya hai ke unhone dehshatgardi ki hai, yeh kiya hai, yeh bahut hi ghinauna aur jhoota aur ghatiya ilzam hai jo Indian media ne mujh par lagaya hai. Main iski muzammat karta hoon aur Alhamdulillah main zinda hoon aur aapke samne hoon. Ismein aur kuch shukook-o-shubhat wali baat bhi nahi hai. Mere paas ID card bhi hai, aap kahein toh woh bhi main dikha sakta hoon ke main waqai Havaldar Muhammad Asif hoon, theek hai sir. Te baki jitni bhi maine inshaAllah service ki hai, badi bahadri ke sath ki hai aur main SSG Special Service Group ka ek jawan hoon aur hamesha hum samne se ladne wale hain, peeche se waar karne wale nahi hain hum. Aur main hamesha apne mulk aur watan ki khatir hamesha badi bahadri se lada hoon aur abhi bhi taiyar hoon ladne ke liye aur meri jaan bhi hazir hai is watan ke liye. Shukriya.