Priya, Priya beti. Ji maa. Beti ye sonth ke laddu hai. Yaad hai? Main Delhi se lekar aayi hu tere liye. Le kha le shabash. Aao na baith. Maa mere liye Delhi se sonth ke laddu layi hai. Ise khayegi na toh bahut fayda hoga. Kha. Tikha hai na? Last time jab main isse kar rahi thi na toh mujhe bhi bahut tikhe lagte the. Isliye maa mujhe apne samne bithakar zabardasti khilati thi. Ek aur khayegi? Hmm. Main nahi. Are maari, kehna nahi maine laddu khaye hai. Okay? Madhu? Ji maa ji. Are tum yaha ho? Aur main tumhe tumhare kamre mein dhund rahi thi. Main dadaji ke paas baithi thi. Kya baat hai? Tum ro rahi ho? Nahi nahi nahi. Main purani wali picture dekh rahi thi na, isliye. Arre o pari. Chalte mere saath. Chal baith. Aaram se, aaram se. Madhu beti, ye hai na ye sonth ke laddu hai. Ise khane se bacche ko aur maa ko dono ko bahut fayda hota hai. Chal kha le. Nahi nahi maa ji main baad mein kha lungi. Nahi nahi baad mein nahi, tujhe mere samne khana hoga, varna tu rakh degi. Ye bahut tikha hota hai na, isliye main jaanti hu. Chal muh khol. Nahi maa ji, maa ji main. Shabaash, shabaash, shabaash. Meri bacchi, muh khol. Muh khol, muh khol, muh khol. Shabaash. Shabaash. Theek hai na? Shabaash. Arre Madhu, beti tumhare pairon mein toh bahut sujan hai. Ji maine doctor se kaha tha, lekin unhone kaha aisa hota hai. Aisa hota zarur hai, lekin zyada sujan achi baat nahi. Main tere pairon mein na saag buti wala tel laga deti hu. Usse sujan kam ho jaati hai. Bansi? Ji maa ji. Woh saag buti wala tel toh lana. Abhi laya. Bas rakh do. Ji. La beti. Nahi nahi maa ji. Aap mere paon ko haath lagaye. Mujhe acha nahi lagega. Hmm? Lekin mujhe toh acha lagega. Jise zuban se beti keh diya, use mann se beti maan bhi liya. Tu meri beti hai na? Hmm? Tumhare parivar mein kaun kaun hai beti? Mera koi nahi hai maa ji. India mein toh hoga na? Duniya mein nahi hai. Aaj ke baad, phir kabhi mat kehna ki mera koi nahi hai. Ab se ye sara parivar tumhara hai.