Madam, zara mujhe apna purse check karwaiye. Kya kaha tune? Ki main tujhe apna purse dikhaun? Tum mujhpe chori ka ilzaam laga rahe ho? Madam, aapko mujhpe haath nahi uthana chahiye tha. Main bas apna kaam hi kar raha tha, apni duty kar raha tha. Sahab ne mujhse kaha hai ki jo bhi unke clinic mein aaye ya bahar jaye, uski checking karna. Aur main bas wahi kar raha tha aur aapne mujhpe haath utha diya. Achha? Saaf-saaf tumne mujhpe chori ka ilzaam lagaya hai aur mujhe lagta hai na ki tum bhool gaye ho. Ye jo tumhare sahab hai na, unki hone wali biwi hoon main. Yani ki is hisab se toh main is clinic ki malkin hoon aur malkin hoke main apne office mein chori toh karungi nahi. Jo tumne mujhpe ye ilzaam laga diya na chori ka, tum jaante nahi ho ki main tumhare saath kya kar sakti hoon. Tumhe ek minute mein na naukri se nikal sakti hoon. Samajh mein aayi? Toh apni aukat mein rehke baat karo mujhse. Madam, aap mujhpe galat ilzaam laga rahi hain. Main sirf apna kaam kar raha hoon. Agar aapne chori nahi ki, toh apna purse dikhaiye na. Agar aap mujhe apna purse nahi dikha rahi hain, iska matlab zaroor aapne kuch na kuch churaya hai sir ke office mein se. Tujhe lagta hai ki main tere jaise do kodi ke guard ko apna purse chune bhi dungi? Bilkul bhi nahi. Aur rahi baat na chori ki, toh tumhara bahut zyada ho gaya hai. Abhi tumhare sir ko phone karti hoon, ruko toh. Achha? Koi baat nahi. Aap phone kyon kar rahi hain sir ko? Aap sir ke office mein hi chaliye na, wahin baat karte hain. Huh, ye toh aur bhi achhi baat hai. Aao andar. Krishan, ye tumne kaisa staff rakha hua hai? Tumhe pata hai isne bahar mujhpe chori ka ilzaam lagaya hai? Nahi sir, madam bilkul jhoot keh rahi hain. Main inpe chori ka koi bhi ilzaam nahi laga raha hoon. Aapne hi mujhse kaha hai na ki jo bhi office ke andar aaye ya bahar jaye, uski hamesha checking karni hai. Toh bas, madam aapke office se bahar gayi thi, main inki checking kar raha tha. Itne mein ye red light baj gayi aur isme se beep ki awaaz aane lagi. Sir, ye tabhi hota hai jab kisi ke paas koi metal ki cheez ho aur mujhe lagta hai inhone apne purse mein kuch chhupa rakha hai. Aap, aap inse puchiye sir. Inhone zaroor chori ki aapke office mein se. Dekh rahe ho tum? Tumhare saamne ye mujhpe chori ka ilzaam laga raha hai. Main maanti hoon, tumhare sir ne tumhe keh rakha hai toh aane jaane wale logon ki checking karo, lekin other persons ki karo na. Meri kaise kari tumne checking? Tum jaante nahi ho, main inki hone wali biwi hoon. Tum meri checking karo aur mujhpe hi chori ka ilzaam laga rahe ho? Ishu, koi baat nahi. Tum itna gussa mat karo. Ho sakta hai use koi galat fehmi ho gayi ho. Main use samjha deta hoon. Nikhil, aaj ke baad jab bhi Ishu mere office mein aaye, toh kabhi bhi iski checking. Theek hai? Theek hai sir. Agar aap kehte hain ki aaj ke baad main madam ki checking na karun, toh sir main bilkul nahi karunga. Par main ye kaam kaafi time se kar raha hoon sir aur jab bhi ye beep karta hai, toh iska matlab hota hai ki us insaan ne kuch na kuch rakha hua hai apne paas. Dekhiye sir, main inpe chori ka koi ilzaam nahi laga raha hoon. Bas main itna keh raha hoon ki aap ek baar apne office ka CCTV check kar lijiye. CCTV? CCTV kyon check karna hai? Tumhein samajh mein nahi aata? Unhone kaha na ki aaj ke baad tum meri checking nahi karoge, toh tum ye keh rahe ho ki CCTV check kar rahe ho? Chupchap yahan se chale jao, varna apni naukri se haath dho baithoge. Ishu, calm down. Are, jab wo keh raha hai toh ek baar check kar lete hain. Ho sakta hai use koi galat fehmi hui ho. Main ek baar camera check kar leta hoon, uska bhi veham door ho jayega. Huh, par camera check karne ki zaroorat kya hai? Tumhein mujhpe bharosa nahi hai kya? Ishu, mujhe tumpe poora bharosa hai. Tabhi toh main keh raha hoon ki ek baar check kar lete hain, uska bhi veham door ho jayega. Ye kya hai Ishu? Tumne chori kari hai? Dekho Krishan, mujhse na galti ho gayi. Mujhe thode se paise dekh ke aur gold dekh ke lalach aa gaya tha. Please tum mujhe maaf kar do. Main aaj ke baad kabhi aisa nahi karungi. Main maanti hoon maine galti ki hai. Ishu, tumhein maaf kar doon? Are, tumne chori kari hai. Tum mujhe ek baat batao, mere paas jo kuch hai wo sab tumhara hi toh hai na? Main tumse shaadi karne wala tha. Kis cheez ki kami thi tumhare paas? Agar tumhein kuch chahiye hota toh tum mujhse maang leti, par chori karne ki kya zaroorat thi? Agar meri tumse shaadi ho jaati, toh meri toh zindagi kharab ho jaati na? Mujhe lagta tha tum mujhse pyaar karti ho, par tum mujhse nahi, mere paise se pyaar karti ho. Aur Ishu, tum mujhe ek baat batao, kya is galti ke liye main tumhein maaf kar sakta hoon? Are, tumne koi galti kari hoti ya anjaane mein tumse kuch hua hota na, toh main tumhein maaf kar deta. Par tumne jaan boojh kar yahan se chori kari hai aur chori ki koi maafi nahi hoti. Ek kaam karo, jo bhi saaman tumne churaya na, ise wapas rakho aur jao yahan se. Dekho, itni jaldi koi faisla nahi lena chahiye. Hamari shaadi hone wali hai. Main maanti hoon na mujhse galti hui hai. Ek mauka de do, main kabhi aisa nahi karungi. Jo bhi tumne churaya hai na, sab kuch is table pe rakho. Chalo. Paise bhi rakho. Ab jao yahan se. Nikhil, tum, tumne apna kaam bahut imandari se kiya hai aur main tumse yahi umeed karunga ki tum aage bhi aise hi imandari se kaam karo. Ji sir. Ab tum jao aur apna kaam karo.