Sahab, ye lijiye pani. Beta niche rakh do. Sahab, ye toh meri mamma hai. Kaun ye wallpaper mein? Haan sahab, ye meri mamma hai. Beta ye aapki mummy kaise ho sakti hai? Ye toh meri wife hai. Nahi sahab, main sach bol rahi hoon. Aap meri baaton pe yakeen karo, ye meri mamma hi hai. Beta aapko koi galat fehmi hui hogi, dhyan se dekho. Ye aapki mummy kaise ho sakti hai? Abhi toh hamara koi bacha hi nahi hai. Nahi sahab, ye aapki patni nahi ho sakti, ye meri mamma hi hai. Hum inko kaafi time se dhoondne ki koshish kar rahe hain, lekin ye kahin nahi mili. Lekin dekho na, aaj mil gayi. Ye meri mamma hi hai sahab. Tum, tum kya bakwas kar rahi ho haan? Kuch bhi bologe? Jao apna kaam karo. Par aap iski baaton mein kyun aa rahe ho? Choti bachi hai, kuch bhi bol rahi hai. Tum jao apna kaam karo. Memsahab, main kisi ko bhi apni mamma kaise bana loongi? Main sach bol rahi hoon, ye meri mamma hi hai. Ye gaon se shehar aayi thi kisi kaam ke liye, lekin uske baad ye kabhi gaon wapis hi nahi gayi aur hum log bhi inhe dhoondte dhoondte yahan par aa gaye. Lekin ye humein kahin nahi mili. Main sach bol rahi hoon, ye meri mamma hi hai. Acha, agar ye tumhari mamma hai, naam kya hai iska? Inka naam Diksha hai. Diksha naam hai inka. Sir aajkal naam pata karna itna easy hai aur woh aapki wife hai. Aap itne famous ho toh almost sabko aapki wife ka naam pata hi hoga na? Tum jao apna kaam karo, hamara time mat waste karo, theek hai? Exactly Sarina. Jao beta, aapko koi galat fehmi hui hogi. Aur is duniya mein ek shakal ke bahut saare insaan hote hain. Ho sakta hai ki aapki mummy ki shakal meri wife se thodi bahut match karti ho. Sahab, shakal match nahi kar rahi, ye meri mamma hi hai. Sahab, bas aap mujhe inse ek baar milwa sakte ho? Sahab, main aapse haath jodke vinti karti hoon. Please aap mujhe inse ek baar milwa doge? Acha theek hai. Main inko yahan pe phone karke bulaata hoon. Tum andar jao, jab woh aa jayengi main aapko bahar bula loonga. Ji sahab. Hello Diksha, kya kar rahe ho tum? Kuch nahi Sam, bas aise hi baithi hoon. Acha, office aa sakte ho? Abhi? Haan, abhi. Main driver bhej raha hoon. Tum office mein aa jao. Actually, tumhe kisi se milwana hai. Acha papa theek hai, main aati hoon. Okay, see you. Hi baby. Arre Diksha, aa gaye tum? Koi pareshani toh nahi hui na aane mein? Koi pareshani nahi hui. Driver bhej diya tha na tumne? Acha waise, kisse milwana tha? Acha, mujhe ek baat batao. Tum kabhi bhi apne parivar ke baare mein mujhe kuch kholkar batate nahi. Kuch chupate ho kya mujhse parivar ko lekar? Baat aisi kuch bhi nahi hai. Tum jaante ho na, mujhe mera past ko dohrane ki koi aadat nahi hai. Nahi yaad karna chahti main apna past. Lekin parivar toh past ya present ya future nahi hota na? Parivar toh parivar hota hai aur saath hote hain, woh tumhare saath hone chahiye. Maine dekha hai na, tum kabhi apne parivar se baat karti ho, na na kabhi mujhse milne ke liye bulaati ho, na khud milne jaati ho. Aisi kya wajah hai? Tum mujhse kuch chupate ho? Kuch nahi chupaya tumse. Tumhe maine bataya tha na, mere papa, mummy, bhai car accident mein mar gaye the. Toh woh gaon chhodke main yahan shehar mein aa gayi thi aur yahan aane ke baad main tumse mili. Tumhe mujhse pyaar ho gaya aur hum dono ne shaadi kar li. Bas yahi thi meri duniya. Isse zyada aur kuch nahi. Lekin koi ek sadasya aapki family mein bach gaya tha shayad. Baaki toh shayad sab mar gaye the. Woh sadasya aapki beti. Beti? Beti? Kaun beti? Main married thodi thi. Main toh single hoon. Jab main is shehar mein aayi hoon, beti kaise ho sakti hai meri? Kuch bhi bol rahe ho? Mazaak kar rahe ho na? Nahi, main mazaak nahi kar raha, main serious hoon. Sofia beta, bahar aana. Mamma? Tum inko jaante ho? Nahi Sam, kaun hai ye bachi? Main nahi pehchanti ise. Mamma, main aapki beti hoon, Sofia. Aap mujhe kaise bhool sakte ho? Kaun mamma? Kiski mamma? Kaun beta? Main isko nahi jaanti hoon. Kuch bhi bole ja rahe ho. Dekho Diksha, mujhse na kuch bhi chhupao mat. Ab na tumhari sachai mere saamne aa chuki hai. Ye bachi daawa kar rahi hai ki tum uski maa ho. Aur ye kitni choti bachi, bilkul bhi jhooth nahi bolegi. Aur ye jab se yahan par kaam kar rahi hai, bahut imandaari se kaam kar rahi hai. Waise main kabhi bachon ko kaam pe nahi rakhta, lekin main isko school bhejta hoon, iska khayal rakhta hoon. Aur thoda bahut ye hamare office mein jab iska school se off hota hai, toh yahan par aa jaati hai, thoda bahut kaam mein haath batana. Jo bhi hai, mujhe sab kuch sach-sach bata do. Haan Sam. Ye jo kuch bhi keh rahi hai na, theek keh rahi hai. Main hi iski mamma hoon. Asal baat ye hai, gaon mein meri akal pe na patthar pad gaye the. Ek ladke se mujhe pyaar ho gaya tha aur ye usi pyaar ki nishani hai. Jab insaan ko pyaar hota hai na, toh woh andha ho jaata hai. Use lagta hai ki bas pyaar hi insaan ke liye zaroori hai. Lekin shaadi ke baad mujhe realize hua, pyaar se ghar nahi chalta hai. Paisa bhi utna hi zaroori hota hai. Iske baap ko maine bahut samjhaya ki mujhe paison ki zaroorat hai, mujhe ek achi zindagi chahiye. Par nahi, usko koi kaam dhanda nahi karna tha. Is bachi ko bhi main paida nahi karna chahti thi. Par nahi, use ek bacha chahiye tha. Toh jaise hi ye bacha paida hua, maine use de diya aur sab kuch chhod-chhaad ke main shehar mein aa gayi. Toh bana liya tumne apna career? Bana li apni zindagi? Aur iske career, iski zindagi ka kya? Arre isko toh kabhi apni maa ka pyaar nahi mila na? Woh bhi tumhari wajah se, tumhari laalach ki wajah se. Agar tumhe tumhara husband pasand nahi tha, toh kam se kam iski zindagi toh barbaad na ki hoti na? Isko toh gaon se shehar bula sakti thi tum. Main isko apne saath kaise rakh sakti thi Sam? Mujhe apna career banana tha, apne career pe focus karna tha. Kis ko apne saath rakh ke apni zindagi kharab karni thi mujhe? Iske kharche kaun uthata? Acha, toh abhi tumhara kharcha kaun utha raha hai? Tum khud ya main? Of course tum. Tum mere husband ho, toh tum hi mere kharche uthaoge na? Iska bhi kharcha main utha sakta tha na? At least tumhe mujhse jhooth nahi bolna tha. Seriously? Ye baatein sirf na kitabon mein achi lagti hai. Meri beti ye hai aur tumhein sab kuch jaan ne ke baad iske kharche kyun uthate? In fact tum mujhse bhi shaadi nahi karte. Theek hai. Tumhein jo karna tha, tumne kar liya. Ab se ye bachi tumhare ghar tumhare saath rahegi. Matlab, hamare saath rahegi. Sach mein? Tum hum dono ko apne saath rakhoge abhi bhi? Haan.