Hook
More breakout videos from this creator.
Ab is biryani wale ko dekhiye. Inke paas half or full biryani dono milte hain. Or ye har customer ko bahut hi zyada quantity mein biryani dete hain. To maine pucha inko, arey malik, aap sab ko itna zyada quantity mein biryani dete ho, aapko kuch profit wagarah bachta hai ki nahi bachta hai? To unhone kya bola pata hai kya? Profit to thoda bahut bach jata hai. Lekin ye na mere yahan pe jo customer aata hai na, wo 80% labor hai, labor. Aajubaju mein construction ka kaam chale, din bhar kaam karte hain, unko zyada bhookh lagti hai. To yahan pe aane ke baad unka na pet barna chahiye. Isliye main zyada biryani deta hu. Bhai jaise maine suna na, main sunn ho gaya, shant ho gaya. Or ek salute kiya. Ki kya soch hoti hai na dhande wale ki. Or ye inke nahi, Bharat ke har dhande wale ki aisi soch hai. Ki khud se pehle apne customer ke bare mein sochte hain. Unka kis tarike se fayda hoga, ye sochte hain. Or unko satisfy karne ke baad, do paisa khud ke liye kamate hain. Lekin galat kya hota hai pata hai kya yahan pe? Jo aaju baju wali janta hai na, inko sirf ye do paisa jo kamate hain na, wohi dikhta hai. Or kya bolte hain, dhande wala paisa kamata hai.