Hook
Abhi is biryani wale ko dekhiye. Is biryani wale ko dekhiye. Inke paas half or full biryani dono milte hain. Or ye har customer ko bahut hi zyada quantity mein biryani dete hain. To maine pucha inko, are malik, aap sabko itna zyada quantity mein biryani dete ho, aapko kuch profit wagarah bachta hai ki nahi bachta hai? To unhone kya bola pata hai kya? Profit to thoda bahut bachta hai. Lekin ye na mere yahan pe jo customer aata hai na, wo 80% labor hai, labor. Aajubaju mein construction ka kaam chale, din bhar kaam karte hain, unko zyada bhookh lagti hai. To yahan pe aane ke baad unka na pet barna chahiye. Isliye main zyada biryani deta hoon. Bhai jaise maine suna na, main sunn ho gaya, shant ho gaya. Aur ek salute kiya. Ki kya soch hoti hai na ek dhande wale ki. Aur ye inke nahi, Bharat ke har dhande wale ki aisi soche. Ki khud se pehle apne customer ke bare mein soche. Unka kis tarike se fayda hoga, ye soche. Aur unko satisfy karne ke baad, do paisa khud ke liye kamate hain. Lekin galat kya hota hai pata hai kya yahan pe? Jo aajubaju wali janta hai na, inko sirf ye do paisa jo kamate hain, wohi dikhta hai.
More breakout videos from this creator.