na home facial ye hai ke pehle to thoda sa pani rakh dijiye boil hone ke liye. sath hi aapne na pehle to apni cleansing karein. thoda sa doodh le lein kacha nahi hai to pakka hua le lein. cotton pad ke upar laga ke achi tarah face ki cleansing kar lijiye achi tarah. ye naak ke corner saaf karein, ye saaf karein, gardan puri saaf karein, kaan saaf karein, pichla hissa saaf karein, haath saaf karein aur puri gardan ki pusht bhi saaf kiya karein. sara kuch aage nahi lagana hota, piche ka bhi bahut importance hota hai. acha ye sara kuch jab aapne kar liya to uske baad aapne na thoda sa besan lena hai haath ke upar, thoda chawal ka atta lena hai, thodi coffee leni hai, thodi haldi leni hai. isko aapne halki haathon ke sath chawal ka atta bilkul thoda lena hai ye cheezein zyada aur bilkul thoda aur uske sath aapne skin ki achi tarah jo hai wo scrubbing karni hai. do minute aap scrub karenge, aise mulayam ho jayegi malai ki tarah aapki skin. isko aapne phir chehre ko achi tarah dho liya, vitamin E ke do capsule lene hain, thoda sa aloe vera gel lena hai, uske sath acha massage karein. acha massage karne ke baad aapne isko dekha ke har cheez chehre mein absorb ho gayi hai. tissue se thoda sa saaf kar lijiye. thoda sa saaf karne ke baad jo aapne pani boil kiya tha usme thoda pudina dalein, thodi gulab ki pattiyan dalein, apne sar pe towel rakhein aur apni skin ko agar aapke paas steamer hai chota wala to usse le lijiye nahi to aap patili mein garam kar lein pani, main to gharelu nuskhe bataungi na, to uske sath apni skin ko steam dein. aapne 10-15 second steam hai aur agar steam zyada jama ho jaye to wo kapda utha ke usko nikalte jana hai. haathon ko bhi steam karein. thodi der ke baad ab aapne foran kya karna hai, apni skin ko achi tarah dekhna hai aur tissue paper apni skin ke upar rakh ke aur thoda sa apne tissue se isko thoda sa dabana nahi hai skin ko, koi nahi lagani, pin nahi lagani, koi kuch nahi lagana. lekin jab tissue se halka sa saaf karein usko jo aapko ekdum steam aa gayi hai to aapne achi tarah apni skin ki wo black aur white heads chin se bhi nikalne hain. ab iska mask ready karte hain, kaunsi koi badi science hai? nahi to multani mitti available hai to uske andar aap arq-e-gulab daal lijiye, koi aapne juice dalna hai to wo daal lijiye, thode se ek do lemon ke drop daal lein, isko janab ji aap mask lagayein, 20-25 minute ke baad isko wash karein, acha sa moisturizer lagayein nahi to retinol lagayein jo maine banana sikhaya hai aloe vera gel ke sath, raat ko chehre pe massage karein aur so jayein. subah aapne apne aapko nahi pehchan na, baki sare bhi aapko puchenge itna khubsurat facial aapne kahan se kiya.