Hook
tum taiyaar ho jao, hum tumhari ammi ki taraf ja rahe hain. kyun? wahan kya lene jana hai? tum apni ammi ko mana ki bhi tumhari behen ki shadi na karein. kyun? main kyun mana karungi? mujhe koi aitraaz nahi is shadi se. aisa na ho ki main tumhe hamesha ke liye tumhari maa ke ghar bhej doon. jaisa keh raha hoon waisa karo, samjhi? ammi, aap kyun itni jaldi dua ki shadi karna chahti hain? abhi dua ko padhne dein. beta, pehle to tum raazi thi. ab achanak tumhe kya ho gaya? ammi, pehle maine aisa nahi socha tha, lekin jab baad mein maine socha ki aap to akeli reh jayengi agar dua ki shadi ho gayi to. beta, ab sab kuch tay ho chuka hai. ammi, main bhi aapki beti hoon. ek taraf aap mujhse to mashwara kar leti hain. beta, tumhe kya aitraaz hai is rishte se? betiyan apne gharon mein hi achi lagti hain. main dua se hi baat kar leti hoon. aa jayein. dua, main tumse baat karne aayi hoon. ji aapi, bolein. mujhe pata tha, shawer tu yahi karega. lekin mujhe kuch karna padega. main ye shadi nahi hone doonga. kabhi bhi nahi hone doonga. dua, tum is rishte se khush ho? ji aapi, main khush hoon. lekin tumne apni padhai nahi mukammal karni? tu aapi shawer ko koi aitraaz nahi hai. main shadi ke baad bhi padhai kar sakti hoon. ammi akeli reh jayengi. to main aati rahungi na ammi ke paas. aapi, aap mujhe khush nahi lag rahi hain. kya hua aapi? aap ro kyun rahi hain? main kahan phans gayi hoon? mujhe to kuch samajh nahi aa raha. bas ye soch ke dil bura ho raha hai ki tumhari bhi shadi ho jayegi aur tum bhi apne ghar chali jaogi. aap ye fikr mat karein. jab aapka dil kare mujhse milne ka aap mujhe bata dena, main aapke ghar aa jaya karungi aapi se milne. haan, tudwa aayi rishta apni behen ka. kaisi baatein kar rahe hain aap? Allah uske naseeb achhe karein. Allah na kare ki kabhi aisa ho. bakwaas band karo apni, jitna poocha hai utna batao. main wahan rishta tudwane nahi gayi thi. to phir maine tumhe kis liye bheja tha? aap chahte kya hain? khul ke batayein mujhe. main jo chahta hoon na, wo tumhe bahut achhe se pata chal jayega. ab mujhe batao ki wahan kya baatein hui hain? dua bahut khush hai is rishte se. koi bhi baat karke uski khushiyan chheen nahi sakti. matlab? matlab meri baaton ka tumpe, main tumhare liye koi haisiyat nahi rakhta. ab main tumhe bataunga ki main kaun hoon. abhi tum mujhe nahi jaanti thi. ab dekho main karta kya hoon. shawer, tumhe pata hai aaj aapi aayi thi? aur wo mujhe bahut upset lag rahi thi. jaise koi baat unhein bahut zyada pareshan kar rahi ho aur wo rone lag gayin. achha, phir unse poochna tha na ki unhein kya hua hai? maine unse poocha bhi tha. pehle kabhi aisa nahi hua ki wo itni pareshan hon. lekin aaj pehli dafa maine unhein itna pareshan dekha hai. unhone mujhe kuch bataya hi nahi. wo keh rahi thi ki tumhari shadi ho jayegi isliye main pareshan hoon. haan, ho sakta hai koi baat unhein pareshan kar rahi ho. waise mujhe na maaz bhai se achhi vibes nahi aati hain. mujhe aisa lagta hai ki maaz bhai mujhe pasand nahi karte. unhein achha nahi lagta ki main tumse ya sawera aapi se baat karoon. haan, mujhe bhi aisa hi lagta hai. khair, unke kehne na kehne se kaunsa koi farq padta hai.
More breakout videos from this creator.