Hook
More breakout videos from this creator.
6 bacchon ki maa apne sautale bete ke sath ghar se bhag gayi. Aakhir 6 bacchon ki maa jiski umar takreeban 45 saal hai, naam hai uska Tahira. Shohar ka naam hai Naveed aur iska ek beta hai sautala beta jiski umar 22 saal hai aur naam hai uska Aasif. Ab iska shohar jo hai woh jab samne aaya aur iske shohar ne woh tamamtar waqoo bataya toh takreeban hamari shadi ko 22 saal ho gaye aur 22 saal mein hamare 6 bacchon hain jo iski beti hai woh jawan beti hai takreeban 15-16 saal ki woh beti hai aur uske baad 5 aur bacchon hain. 6 bacchon ki maa ko aakhir aisi kya aafat aayi thi. Ab iske walid ka kehna hai ke Aasif meri pehli biwi mein se beta hai. Jab yeh rukhsat ho kar Tahira mere ghar aayi toh us waqt Aasif jo hai woh chota tha. Aasif apni nani ke paas chala gaya aur wahin par woh rehta raha. Tab tak hamare ghar ke halat meri biwi mukammal tor par meri thi sab kuch theek chal raha tha. Ab Aasif 22 saal ka ho gaya aur wahan par uski nani ka inteqal ho gaya. Jab nani is duniya se rukhsat hui toh Aasif ne apne baap se kaha ke ab toh nani bhi yahan par nahi hai toh aap mujhe wapas mere ghar lekar jayein taake main apne ghar ho. Jab Aasif wapas apne baap ke ghar aata hai wahan pe rehne lagta hai toh Tahira apne shohar ko kehti hai ke tumhara beta theek nahi hai isko ghar se nikalo. Ab Naveed ne apni biwi ke kehne par apni biwi ki baton mein aa kar Aasif ko ghar se nikal diya. Ab silsila kuch yun tha ke Aasif kabhi hafte mein ek aadha din aata aa kar wapas chala jata. Phir kabhi aata do din rehta aur wapas chala jata lekin is baat ka guman kisi ko bhi nahi tha ke Tahira aur Aasif mein aisa koi ghaleez rishta ban jayega jiski saza yeh log aise bhugtenge ke woh apne 6 bacchon ko chhod kar apni 22 saal ki shadi apne 22 saal ke rishte ko thukra kar us shakhs ke sath bhag jayegi jo ke rishte mein uska sautala beta hai. Ab jab yeh aapas mein in dono ki understanding ho gayi aapas mein dono ki dosti ho gayi taluq ban gaya toh is baat ka shak Naveed ko hua ke meri biwi ke mere hi bete ke sath taluqat hain. Uske baad Aasif ka mukammal tor par ghar aana band kar diya. Iski beti jiska naam Ayesha hai uska kehna hai ke maa hum logon ko aksar galiyan nikalti thi aur ek kamre mein khud ko rakhti thi har waqt phone par lagi rehti thi aur phone bhi woh Naveed ka diya hua nahi tha balki woh phone bhi Aasif ka diya hua tha. 2005 mein hui yeh shadi jiska 2026 mein aisa bhayanak anjam hua ke biwi is tareeke se ghar se chali gayi. Ab jab ghar se gayi apne tamam ghar walon ko apne 6 bacchon ko apne shohar ko khane mein nasha mila kar diya gaya aur uske baad jab sab so gaye toh raat ke 12 baje yeh apne ghar se nikalti hai aur sath lekar jati hai bartan apni beti ka zevar sath hi ghar mein kuch paise hote hain woh aur apne apni badi beti ke jitne bhi keemti kapde hote hain woh sab kuch sath lekar chali jati hai. Jab police ko ittila di jati hai toh CDR nikalwaya jata hai aur CDR mein pata lagta hai ke 8 se 10-10 ghante din mein iski apne us sautale bete Aasif ke sath baat hoti thi aur inki inka aapas mein ek ghaleez tareen taluq tha. Ab beti kehti hai ke maa ghar wapas aa jao hum log aapke bagair kya karenge woh 6 behan bhai apni maa ka intezar kar rahe hain rah dekh rahe hain jabke shohar Naveed hai uska kehna hai ke main is khatoon ko bilkul apne ghar mein nahi rakhna chahta isko aur mere bete ko sakht se sakht saza milni chahiye kyunke inhone maa aur bete ke rishte ko pamal kiya hai. Aap log batayega ke inke sath kya hona chahiye.