Hook
Multan ka ye ghaleez tareen waqia jahan par ek saheli apni dusri saheli ke ghar shadi ki taqreebat mein jati hai. Bachpan ki purani saheliyan hoti hain aur dono ka taluq jo hai wo behno wala hota hai. Dono ke gharon mein aana jana hota hai, dono ke ek dusre ke sath jo taluqat hain wo bahut ache hote hain. Ab ek jo saheli hai wo apni dusri saheli ek ka naam Masooma dusri ka naam hai Fatima. Ab Masooma ko Fatima bulati hai apni behan ki shadi par aur usko kehti hai ke puri family ko lekar aana hai aur mere ghar ka jo ye event hai tumne ache tareeqe se attend karna hai. Masooma jiska shohar hai uske do bache hain, ek beti hai aur ek beta hai. Beti ka naam Zimmal hai. Ab beti ka yahan par zikar karna isliye zaroori hai kyunke aakhir mein jakar aapko pata lagega ke is Zimmal beti ka is pure vlog mein kya kirdar hai, Masooma ka kya kirdar hai, Fatima ka kya kirdar hai. Ab jo Masooma ka shohar hai wo peshe ke lihaz se driver hai. Shadi par jate hain 2021 mein. Shadi ki taqreebat shuru hoti hain, teen din ka event hai, puri tayariyon ke sath sab tayar hokar jate hain. Masooma tayar hokar nahi jati. Wo kehti hai main Fatima ke ghar jakar tayar hungi. Wahan par jati hai, wahan par jakar proper tayar hoti hai. Bade khush usloobi ke sath shadi ke teeno events jo hain wo attend kiye jate hain, bade bharpoor tareeqe se shirkat ki jati hai aur uske baad sab apne apne gharon mein aa jate hain. Ab jab apne apne ghar mein aa gaye to teen se char din guzarte hain, Masooma ke ghar mein ek aadmi aata hai jiska naam hai Abid Hussain. Aakar kehta hai ke main aapki dost Fatima ke ghar se aaya hoon, mujhe Fatima ne bheja hai. Wo kehti hai ke aajo Fatima ke sath kyunke uska behno wala taluq tha. Wo kehti hai aajo aap andar baithein, pani shani piyein. Baithti hai, wo kehti hai batayein aapke kis liye bheja Fatima ne. Mobile phone aage karta hai aur usko kehta hai zara ye mobile to dekhein. Mobile ki gallery kholi jati hai jab mobile mein dekha jata hai ke wahi kamra jisme Masooma ne apne kapde tabdeel kiye the, apne dost ke ghar mein jakar shadi ki taqreebat ke liye wo tamam cheezein ek khufiya camera ki madad se record ki gayi. Wo kehti hai ye neech harkat kisne ki? Main to apni dost ke ghar gayi thi, ye to meri bachpan ki dost hai, behno wala taluq hai, ye sab kuch kisne kiya? Jis par ye Abid Hussain kehta hai ke main us kamre mein khufiya camera jo hai laga kar maine rakha hua tha aur ye aapki video hai. Ab kya chahte ho? Kehta hai ab masla bas ek hai, video dekhi hai aap pasand aa gayi hain, ab aapko mere sath taluqat qaim karne honge. Wo kehti hai main abhi apne shohar ko batati hoon, main police ko itla deti hoon, aisi kaise taluqat qaim kar loon tumhare sath? Jis par wo kehta hai badi khushi se batayein, jisko marzi batayein lekin usse pehle pehle ye video social media ke tamam platform par viral ho jayegi. Ab wahan par dari, wahan par sehmi aur ye iski wo pehli ghalti thi jo isne ki. Ab darne sehmi ne ke baad Abid Hussain jo hai mazeed taqatwar hokar uske samne aaya aur usko kehta hai taluqat banao, taluqat ban gaya. Pehli baar usi ghar mein apne shohar ki ghair maujoodgi mein taluqat qaim hue. Ab ye silsila shuru ho gaya. Ab shohar driver tha wo kabhi din mein ghaib hota tha kabhi raat mein ghaib hota tha. Ab jab wo nahi hota tha Masooma Abid Hussain ko bula leti thi ke aajo. Yani ke wo taluq jo ek nazeeba video ki wajah se blackmailing ki wajah se qaim kiya gaya wo ab raza mandi ke sath chal raha tha aur ye taluq taqreeban teen char saal chalta raha. Ek wo video thi jo ke khufiya camere lagakar banayi gayi aur uske baad kuch wo videos thi jo ab Abid Hussain ne Masooma ke sath taluqat qaim karne ke baad aise nazuk lamhaat mein banayi jo ke nahi banani chahiye thi jiske sath saaf zahir ho raha tha ke ab ye jo videos hain jo ye taluqat hain mutual understanding ke sath qaim hue hain. Silsila chalta raha, Masooma ko bhi shayad Abid Hussain ki aadat pad gayi thi, wo bhi shohar ki ghair maujoodgi mein Abid Hussain se milna apna farz samajhne lagi thi aur ye silsila chalta raha. Teen se char saal guzar gaye. Ab iski jo beti hai Zimmal jiski umar taqreeban 15 se 16 saal hai. Ab Abid Hussain demand karta hai ke ab tum bas ab apni beti lekar aao. Tum humein nahi janti, hum bahut taqatwar log hain, hamara taluq kache ke dakuon ke sath hai. Ek second mein tumhare aur tumhare pure khandan ko yahan se le jakar barbad karne ki taqat rakhte hain. Ab wo kehti hai tum mujhe kar bhi doge tab bhi main apni beti tumhare aage pesh nahi karungi. Wo kehta hai beti to tum pesh karogi. Ek wo video thi jo ke tumhari marzi se nahi bani thi, ab to aisi aisi videos hain ke tum pure pure muashre mein kisi ko munh dikhane ke qabil nahi rahogi. Wo kehti hai tum jo marzi kar lo, police ko bataungi, sabko bataungi lekin beti ke mamle mein nahi compromise karungi. Himmat karti hai, shohar ko sab kuch bata deti hai. Shohar ko kehti hai ye ye mamla hai. Shohar maar peet, lan taan ke tumne to mere palle kuch nahi choda, tumne to mujhe munh dikhane ke qabil nahi choda jo ke haqeeqat mein right par tha. Ab shohar kehta hai ke mujhe number do. Phone karta hai Abid ko aur usko kehta hai bhai tu mujhe mil, tune meri izzat par waar ki hai, ab main tujhe bataunga ke kis tarah se kisi ki izzat par waar karte hain. Wo kehta hai izzat pe waar ki hai, tumhari biwi to apni raza mandi se sab kuch karti rahi hai, videos bhejta hoon, mujhe batao ke kahan par maine tumhari biwi ke sath zabardasti taluqat qaim kiye hain. Usne kaha tum mujhe mil. Khair milne ki bahut zyada koshish ki gayi, Abid Hussain jo hai wo nahi mila. Phir police mein itla di gayi, Masooma ki maujoodgi mein parcha darj karwaya gaya, Masooma is parche mein madai bani, police ko tamam details di, police ne raid ki aur Abid Hussain ko giraftar kar liya gaya. Yaqeenan Abid Hussain ke mobile se wo tamam videos bhi nikal li gayi hongi. Ab khawateen jo hai wo ek baat ache tareeqe se sun lein. Ab jo police jo hai wo karwayi karegi wo to karegi hi, lekin ek wo video thi jisse saaf tareeqe se zahir ho raha tha ke wo video us khatoon ki marzi ke baghair us khatoon ko ilm nahi tha us cheez ka wo video banayi gayi. Agar wo us waqt is baat ko khol deti, bata deti kisi ko to char se paanch saal jo zillat ke usne ghaleez tareen guzare wo mat guzarti. Uske baad blackmail hui, ek aisi video ke liye jis video ke liye blackmail hona banta hi nahi tha aur uske baad apni beti ke upar baat lekar aayi, apni izzat daon par lagayi aur at the end sab kuch karne ke baad phir bhi madad police se hi li aur phir bhi madad uske apne shohar ne hi uski ki. To behtar hai ke aap log is tarah ki cheezon se blackmail hone se behtar hai ke agar koi aapko is tarah se tang kar raha hai to uska parda jo hai uske upar se pehle hi faash kar dein taake aap is ghilazat se bach sakein.
More breakout videos from this creator.