Hook
More breakout videos from this creator.
Ravi kinare milne wali ek bhains ne sabko hairan kar diya. Ek aisi bhains jisko darya mein se nikala gaya. Lekin jab usko nikala gaya to ye janne ke liye ki akhir is bhains ka malik kaun hai to kai malik bankar samne aa gaye ki ye bhains hamari hai, ye bhains hamari hai. Lekin us bhains ka asal malik kaun tha aur kaise itne logon mein pata laga ki asal mein is bhains ka malik kaun hai. Jis tarah se Ravi ke andar pani aaya aur logon ke saman, logon ki kimti cheezein, log kis tarah se unki jan, nuksan hue, mali nuksan hue, even ki logon ke maveshi bhi jo hain wo bhi behte hue is pani mein kahan se kahan aa gaye. Isi tarah se ek bhains darya mein behti hui nazar aayi jab Civil Defense ke logon ne, jo ki 24 hours wahan par maujood hote hain, aap kisi bhi waqt chale jayein aapko Civil Defense ke ahal-kar wahan par nazar aate hain. In logon ne jab Ravi ke pani mein, Ravi ke tez pani mein bhains ko tairte hue, bhains ko behte hue dekha to in logon ne ye faisla kiya ki hum logon ko is bhains ko is pani se nikalna chahiye. Civil Defense ke logon ne bhains ko us pani se nikala aur ab masla ye tha ki akhir ye bhains kiski hai. Jahan par logon ka itna kimti saman, logon ke maveshi, logon ke ghar tak beh gaye, puri ki puri bastiyan beh gayi, wahan par ab masla ye tha ki akhir is bhains ka malik kaun hai. Ird-gird ki bastiyon se pucha gaya, logon ko bulaya gaya ki ye kiski bhains hai. Jab bhains ko dekha to bahut sare log is bhains ke malik bankar samne aa gaye. Kisi ne kaha ye meri hai, kisi ne kaha ye meri hai. Ek aisa insan tha jisne kaha ki ye bhains meri hai aur agar ye bhains meri na hui to iske badle mein main aapko 10 aur bhainsen dunga. Yani ki in tamam logon ko yaqin dilwane ke liye, is baat ko sabit karne ke liye ki ye bhains meri hai, usne yahan tak keh diya ki main iske badle 10 bhainsen dunga. Lekin koi aur log hote ya is baat ko manne wale log hote to shayad wo is baat ko samajh jate ki waqai ye malik hi hoga jo apni is bhains ke badle 10 aur de raha hai. Lekin ek shakhs wahan par maujood tha aur wo achanak se uthta hai aur kehta hai ki main batata hun ki ye bhains kiski hai. Main abhi awaz dunga isko bhali kar kar, jaise hi main isko awaz dunga, ye bhains jo hai foran mere paas aa jayegi. Log wahan par maujood the, Civil Defense ke ahal-kar, Muhammad Akmal sahab jo hain unke sath maine be-panah interviews kiye hue hain, aap logon ko uski tasveer bhi nazar aa rahi hogi. Aur jo jinka kaam hai wahan par, agar koi wahan par phansne laga, usko bachate hain, koi aisi cheez aapko Ravi mein se mil gayi hai, ye log usko nikalte hain. Ek bar hum log wahan par gaye the to ek cylinder wahan par gir gaya tha jinko khali kiya ja raha tha to inke ahal-karon ne wo cylinder tak Ravi ke deep jakar wo cylinder tak nikala tha aur taqriban 2 ghante lage the. Yani ki ye log har time wahan par active hote hain aur is tarah ki cheezon ko dekhte rehte hain. Muhammad Akmal sahab jo hain wo chahte the ki ye jo bhains hai ye apne asal malik tak jaye. Jaise hi us shakhs ne awaz di bhali to bhains jo hai foran apne malik ke paas aa gayi. Ye ek aisi hairan-kun cheez thi jisko dekh kar wahan par tamam maujood log hairan-o-pareshan ho gaye. Aur ye hum log kehte hain ki janwaron mein jazbat nahi hote ya janwar is cheez ko samajhte nahi. Aapne jisko bachpan se pala ho, jisko itna bada kiya ho, ye kaise mumkin hai ki jiski aapne itni khidmat ki ho, uske khane ka khayal rakha ho, uske pine ka khayal rakha ho, uske saaf jagah ka khayal rakha ho, wo is tarah ke waqt mein aapko na pehchane. Jaise hi usne apne malik ki awaz suni foran apne malik ki taraf aa gayi aur apne malik ko pehchan liya. Ye dekh kar Muhammad Akmal sahab ne bhi ye faisla kiya aur yaqin kiya un tamam logon ne ki yaqinan ye jo bhains hai wo isi bande ki hai. Is bande ka kehna tha ki ye bilkul choti si bhains thi, choti si bhains ka bacha tha jab main isko lekar aaya, uske baad maine isko kai saal pala, iski parwarish ki, isko khilaya pilaya, apne paas rakha, be-panah mohabbat karta hun isse jis wajah se isne mujhe pehchan liya. Yani ki bhains ne apne malik ko pehchan liya. Uske baad bhains jo hai uske malik ke hawale kar di gayi aur Muhammad Akmal aur ird-gird ke tamam jo log the wo ye dekh kar khush bhi hue aur hairan bhi hue ki is tarah ki cheezin aaj bhi hoti hain. Jahan par darya ka bahao itna tez hai, jahan par logon ka itna nuksan hua hai, puri ki puri societyan, puri ki puri bastiyan, jo bhi daryaon ke kinare basi hui thi, tamam ki tamam tabah-o-barbad ho gayi. Dusri jagahon par agar dekha jaye to pure ke pure shehar jo hain wo is sailab se tabah-o-barbad ho gaye, logon ke maal, logon ke maveshi, logon ki kimti yahan tak ki kai logon ki kimti janon ka bhi ziya hua. Uske bawajood bhi hum log abhi bhi is nafsa-nafsi, is afra-tafri mein pade hain ki ye cheez meri, ye cheez meri. Ek bhains thi jiska asal malik wahan par maujood tha lekin uske bawajood bhi 10 aur malik aa gaye. Ye tamam-tar cheezin aap logon ki jo hain na ye duniya ka maal kaha jata hai, duniya mein hi reh jana hai, aap logon ne sath kuch bhi nahi lekar jana. To behtar hai ki aap log sach ka sath dein, sach bolein. Ek maveshi, ek bhains ke liye itne logon ne jhoot bola aur jo banda iske badle 10 aur dene ke liye tayar tha uske to jhoot ki maharat ki kya hi baat karein. Khair, jo bhains hai wo apne asal malik tak pahunch gayi aur malik apni bhains ko wapas pa kar, jo ki pata nahi kahan se behti behti wahan tak pahunchi aur Civil Defense ke logon ne usko rescue kiya, wahan se nikala, ye ek badi achi baat hai aur jo achi baat hoti hai usko accept karna chahiye ki jo is tarah ke idare hain, jo apni madad aap ke tehat chal rahe hain, wo bhi itna acha kaam kar rahe hain.