Hook
More breakout videos from this creator.
Acha to baking mein sab se asaan recipe ye wali focaccia bread hai. Aur agar aap ko baking karne ka shauq hai to aap ko ye recipe lazmi try karni chahiye. Ye recipe bohat hi simple hai kyunke is mein aata nahi aap ne goondhna. Is mein main cheez is mein oil bohat zyada jata hai, is liye main Eva sunflower oil istemaal kar rahi hoon kyunke ye bohat zyada light and healthy option hai. Aur abhi in ki yoga campaign bhi chal rahi hai. And guess what, they are offering free yoga classes for 45 days. Aur agar aap bhi kaafi time se ek healthy journey start karna chahte the, so this is your sign to sign up now. Well yahan pe main ne dough ko rise hone ke liye rakh diya tha. Waise bohat achay air bubbles ban chuke hain. Ab main is ko ek aur bowl mein shift kar doongi jis mein main ne is ko bake karna hai. Main ne bohat zyada oil pour kiya, then is ko set karke rakh diya for about one hour. Ab yahan pe main dimple karungi. Ek aur cheez aap ko batana chahungi ke focaccia bread tab hi achi banti hai jab aap is ko bohat zyada rest dete hain. Aur yahan pe phir se main ne oil dala aur air bubbles aap check kar sakte hain, bohat achay se hain. Toppings karenge jo aap ko achi lagti hain, aap log chicken bhi daal sakte hain. And it's totally up to you ke aap ko kis tarah ki toppings karni hai. Well phir main ne is ko bake kar diya tha 180 degree pe for about 30 minutes and here you go. Bye bye.