Canada baithe Pakistani naujawan ne Pakistan mein apne ghar walon ko apne inteqal ki jhooti khabar pahunchayi aur uske baad fori taur par Pakistan aa pahuncha ke main apne ghar ke woh manazir dekhta hoon ke mere is duniya se jaane ke baad mere ghar walon par kya guzarti hai. Lekin jab aakar usne apne ghar ke woh manazir dekhe toh woh kaanp ke reh gaya ke ye kis qisam ke manazir hain. Ye mere wohi ghar wale hain jinke liye maine itne saal Canada mein mehnat ki, pardes kaata, inki har zaroorat ko poora kiya aur aaj jab inko mere marne ki khabar mili hai toh inke ye halaat hain. Jab usne apne ghar ke woh manzar dekhe, aakhir us manzar mein aisa kya tha ke jiske baad isko un tamam saalon ki mehnat par afsos hua jo isne pardes mein reh kar guzare. Jamshed naami ye naujawan hai jiski umar taqreeban 20 se 21 saal hai. Iske do bhai hain aur do behne hain. Ye do bhai aur do behne hain. Ab jab ghar ki zimmedari Jamshed par aan padti hai, walid bimaar hote hain toh pehle usne Pakistan mein hi kaam kaaj shuru kiya, ghar ki zimmedariyon ko achhe tareeqe se sambhala. 20-21 saal ki umar mein usne apne ghar ki tamam tar zimmedariyan apne sar par le li. Lekin phir usko kisi ne kaha ke tum yahan pe reh kar kitna bhi kama lo, aakhir apni behno ki shadiyan kaise karoge, bhai ko taleem kaise dilwaoge, maa baap ki dawai aur baqi ke akhrajaat ko kis tarah se poora karoge. Phir ek shakhs ne isko Canada jaane ka mashwara diya ke bairoone mulk jao aur wahan par ja kar apni qismat azmao. Aakhir agar wahan par ja kar mehnat karoge toh wahan par dugna tum kama sakoge. Ab isne apni walida, apne walid se aa kar baat ki. Walida ka kuch zevar tha aur kuch paise isne qarz utha kar us agent ko diye ke aap mujhe kisi na kisi tareeqe se bairoone mulk pahuncha dein. Jab paise de diye uske upar etmaad kar liya toh usne kaha ke hum log bairoone mulk jayenge zameeni raaste se, yani ke illegal tareeqe se, dunki laga kar. Ab iske paas aur koi option nahi tha kyunke ye us agent ko paise de chuka tha aur qismat azmane ke ilawa aur koi doosra hal nahi tha ke yahan pe reh kar aakhir kya hi kar leta. Qismat azmayi, ghar walon ko alvida kaha aur us agent ke saath ye apne bairoone mulk ke safar ke liye rawana ho gaya. Do se teen maah guzre us zameeni safar ko tay karte karte aakhir kaar ye apni manzil par pahunch gaya. Lekin kyunke ye illegal tareeqe se gaya tha toh wahan par kaam milna itna aasaan nahi tha. Kuch arsa guzra, wahan par isne kaam shuru kiya aur us kaam ke zariye isne achha khasa paisa kamana shuru kar diya. Abhi ye wahan tak pahuncha bhi nahi tha ke ghar walon ki farmaishon ki list is tak pahunchne lagi ke mere liye ye karna, mere liye woh karna, mere liye falani cheez bhejna, mere liye ye cheez bhejna jis tarah se amuman ek khandan wale us shakhs ke saath demand karte hain jo ke bairoone mulk mein jaata hai. Ab Jamshed ne bairoone mulk mein ja kar kaam karna shuru kiya, is shakhs ne kam az kam 20 se 21 ghante wahan par kaam kiya, itna kaam kiya apne ghar walon ko lakhon mein paise bheje aur apne liye sirf khane peene ka kharcha rakha. Jo kamaya sara ghar walon ko bhejta raha. Iska ek dost tha Shahzad jo isko aksar rokta tha ke apne liye kuch na kuch bacha ke rakho, apne liye kuch na kuch rakho taake tumhare liye bhi kuch kaam aaye. Lekin isne apne liye kabhi kuch na bachaya. Ek din chhote bhai ki demand aayi ke bhai mujhe 15 lakh rupiya chahiye kyunke main ek karobar shuru karna chahta hoon. Bina soche chhote bhai ko bhi 15 lakh bhej diya. Behno ki shadiyan ki aur woh ghar jo ke ek toota phoota ghar tha jab ye naujawan wahan se nikla, aaj woh ghar ek haveli numa ghar ban chuka tha. Aaj woh ghar ek aisa ghar ban chuka tha jiski ek ek deewar ye kehti thi ke is ghar ke upar pardesi bete ke paise lage hain. Waqt guzarta gaya aur aakhir kaar do se teen saal baad Jamshed ko Canada ki police ne giraftar kar liya kyunke ye illegal tareeqe se Canada mein maujood tha. Uske baad isne ghar walon ko itlaa bhijwayi ke maine aap logon ko itne paise bheje hain, aaj maine wakeel karwana hai, kuch paison ka intezam kar ke bhejo. Jab iske dost Shahzad ne ghar walon ko call ki toh pata laga ke hum logon ke paas toh ek rupiya bhi nahi hai. Jitne tum paise bhejte ho itne hi paise lagte chale jaate hain. Kisi na kisi tareeqe se ye wahan se nikla, isne wakeel hire kiya aur uske baad aa kar zindagi ko dobara se usi tarah se usi dagar par la kar khada kar diya. Phir se kamane laga, phir se usi tarah se apne ghar walon ko bhejne laga. Phir iske do Shahzad ne ek din isko mashwara diya ke sab se pehle toh qanooni taur par yahan par legal ho, jitne bhi paise lage, kuch bhi ho, apne kaaghzaat banwao aur uske baad apne ghar walon ko ek itlaa do ke tum is duniya se chale gaye ho. Ja kar ek baar dekho toh sahi ke aakhir tumhare ghar wale karte kya hain, tumhare is duniya se jaane ka tumhare ghar walon par kya asar hota hai. Is Jamshed naami shakhs ne apne kaaghzaat banwaye apne aap ko legal kiya aur phir ek din Shahzad ne iske ghar mein call ki ke aapka beta ek road accident par inteqal kar gaya hai. Agar aap apne bete Jamshed ka aakhri deedar karna chahte hain toh 15 se 16 lakh rupiya hamein bhijwayein taake yahan se hum log tamam tar karwayi poori kar kar uska Pakistan bhej sakein taake aap log wahan par uski tadfeen kar sakein aur uska aakhri deedar kar sakein. Jaise hi Jamshed ke chhote bhai ne ye khabar suni paas baithi maa tak ye itlaa pahunchi toh maa ki cheekho pukaar, maa ka rona us call par saaf sunayi de raha tha. Jamshed ne fori taur pe Shahzad ko kaha ke abhi ke abhi ticket karwaunga aur 24 ghante ke andar andar Pakistan pahunchunga aur ja kar dekhunga ke aakhir mere ghar mein kya kohraam macha ke main yahan hoon, mere maa ki itlaa di gayi, maine itne saal, saat se aath saal apne ghar walon ko lakhon rupiya bheja lekin aaj mere saath ye kya sulook karte hain. Bhai ne kaha ke bhai hum log itne paise kahan se bhej sakte hain, hamare paas toh ek rupiya bhi nahi. Aap aisa karein ke hamare bhai ki tadfeen wahin par kar dein, hum log yahin par hi jo bhi dukh hai, jo bhi uski aakhri rasumaat hain woh ada kar denge. Ab 24 ghanton ke andar andar jab Jamshed apne ghar pahuncha toh wahan par door ja kar kya dekhta hai ke ek aali shaan ghar hai jo ke usi ke paison se banaya gaya. Jab ghar ke darwaze par pahuncha toh kehko ki awaaz aayi aur woh kehke iske chhote bhai ke the jisko karobar ke liye 15 lakh, kabhi 20 lakh is tareeqe se raqam bhijwayi gayi. Chhota bhai kaano mein handfree laga kar mobile pe koi video dekh raha tha jiski wajah se woh kehke laga raha tha. Ek kone mein maa afsurda baithi thi, yaqeenan woh maa thi aur us maa ne apne bete ke marne ki khabar suni thi woh bhi ek aisa beta jo ke kamaoo beta tha. Fori taur par jab ye ghar ke andar dakhil hua toh chhota bhai hairan ho kar iske paas aaya ke bhai aapke toh inteqal ki khabar aayi thi. Maa ne fori taur par apne bete ko gale lagaya ke tumne ye hamare saath kis qisam ka mazaak kiya, jis par bete ne kaha ke maine aap logon ko itne saal paise bheje, maine apna ek ek rupiya aap logon ko bheja, apne liye kabhi kuch nahi joda. Aap logon ke paas itni raqam bhi na thi ke aap log mere aakhri deedar ke liye mere ko Pakistan laate ya meri tadfeen Pakistan mein karte mujhe is baat par afsos hai. Woh tamam pardesi log jo ke pardes mein reh kar apno ki khushiyon se apne un tehwaro se apni har us shadi byah se jo ke unke khandan mein hota hai, har us khushi se mehroom hote hain sirf apne ghar walon ka mustaqbil banane ke liye, unka behtar sochne ke liye, khudara aap log apne liye zaroor socha karein. Aakhir kaar jab waqt aap logon ke haath mein nahi rehta, jab woh tamam tar paisa aapka khandan kha chuka hota hai toh aapke haath itni mehnat ke bawajood bhi khali rehte hain. Pardes mein rehne wale har shakhs ki kahani aisi hi hai aur mustaqbil mein uske saath aisa hi hota hai. Isliye khudara apne liye zaroor kuch na kuch rakhein taake mustaqbil mein aap ek pur sukoon zindagi guzar sakein aur aapko apno ke upar aisa afsos na ho.